پرتو نور بھی ہے جوہر تنویر بھی ہے
ناطق لکھنویپرتو نور بھی ہے جوہر تنویر بھی ہے
آئنہ بھی ہے مرا دل تری تصویر بھی ہے
زہر ہے سب کے لئے زہر محبت لیکن
اگر آ جائے موافق تو پھر اکسیر بھی ہے
مجرم عشق ہوں قاتل کا میں اے داور حشر
صاف تو یہ ہے کہ اس میں مری تقصیر بھی ہے
کس قدر صرفہ نگاہوں کا ہوا غیروں میں
کہئے اب آپ کے ترکش میں کوئی تیر بھی ہے
کیوں کیا کرتا ہے تو سمع خراشی ناطقؔ
شعر کہتا ہے تو کچھ شعر میں تاثیر بھی ہے
partau nur bhi hai jauhar tanwir bhi hai
aina bhi hai mira dil tiri taswir bhi hai
zahr hai sab ke liye zahr mohabbat lekin
agar a jae muafiq to phir iksir bhi hai
mujrim-e-ishq hun qatil ka main ai dawar hashr
saf to ye hai ke is mein miri taqsir bhi hai
kis qadar sarfa nigahon ka hua ghairon mein
kahiye ab ap ke tarkash mein koi tir bhi hai
kyun kya karta hai to sam-e-kharashi natiq
sher kahta hai to kuchh sher mein tasir bhi hai