پردہ اور عصمت
Majaz Lakhnawi (1911–1955)جو ظاہر نہ ہو وہ لطافت نہیں ہے
جو پنہاں رہے وہ صداقت نہیں ہے
یہ فطرت نہیں ہے مشیت نہیں ہے
کوئی اور شے ہے یہ عصمت نہیں ہے
صبا اور گلستاں سے دامن کشیدہ
نوائے فسوں خیز اور ناشنیدہ
تجلیٔ رخسار اور نا دمیدہ
کوئی اور شے ہے یہ عصمت نہیں ہے
سر رہ گزر چھپ چھپا کر گزرنا
خود اپنے ہی جذبات کا خون کرنا
حجابوں میں جینا حجابوں میں مرنا
کوئی اور شے ہے یہ عصمت نہیں ہے
خیالات پیہم میں ہر وقت گم سم
دل نرم و نازک پہ ابر توہم
بجھا سا تبسم گھٹا سا تکلم
کوئی اور شے ہے یہ عصمت نہیں ہے
وہ اک کاہش تلخ ہر آن دل میں
وہ شام و سحر ایک خلجان دل میں
امنڈتا ہوا ایک طوفان دل میں
کوئی اور شے ہے یہ عصمت نہیں ہے
نگاہوں کی دعوت کو پامال کرنا
مذاق لطافت کو پامال کرنا
تقاضائے فطرت کو پامال کرنا
کوئی اور شے ہے یہ عصمت نہیں ہے
قسم انجم شب کے ذوق سفر کی
قسم تازگیٔ نسیم سحر کی
قسم آسمانوں کے شمس و قمر کی
کوئی اور شے ہے یہ عصمت نہیں ہے
قسم شوخیٔ عشق سنجوگتا کی
قسم جون کے عزم صبر آزما کی
قسم طاہرہ کی قسم خالدہ کی
کوئی اور شے ہے یہ عصمت نہیں ہے
jo zahir na ho wo latafat nahin hai
jo pinhan rahe wo sadaqat nahin hai
ye fitrat nahin hai mashiyyat nahin hai
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
saba aur gulistan se daman kashida
nawa-e-fusun khez aur nashanida
tajalli-e-rukhsar aur na damida
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
sar-e-rah guzar chhup chhupa kar guzarna
khud apne hi jazbat ka khun karna
hijabon mein jina hijabon mein marna
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
khayalat-e-paiham mein har waqt gum sam
dil narm-o-nazuk pe abr tawahhum
bujha sa tabassum ghata sa takallum
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
wo ik kahish-e-talkh har an dil mein
wo sham-o-sahar ek khaljan dil mein
umandta hua ek tufan-e-dil mein
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
nigahon ki daawat ko pamal karna
mazaq-e-latafat ko pamal karna
taqaza-e-fitrat ko pamal karna
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
qasam anjum-e-shab ke zauq-e-safar ki
qasam tazgi-e-nasim-e-sahar ki
qasam asmanon ke shams-o-qamar ki
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
qasam shokhi-e-ishq sanjogatta ki
qasam jon ke azm-e-sabr azma ki
qasam tahra ki qasam khalida ki
koi aur shai hai ye ismat nahin hai