وہ سامنے جب آ جاتے ہیں سکتے کا سا عالم ہوتا ہے
اقبال سہیلوہ سامنے جب آ جاتے ہیں سکتے کا سا عالم ہوتا ہے
اس دل کی تباہی کیا کہئے امرت بھی جسے سم ہوتا ہے
دیتے ہیں اسی کو جام طرب جو جرعہ کش غم ہوتا ہے
کب باغ جہاں ہیں خندۂ گل بے گریۂ شبنم ہوتا ہے
جب ولولہ صادق ہوتا ہے جب عزم مصمم ہوتا ہے
تکمیل کا ساماں غیب سے خود اس وقت فراہم ہوتا ہے
انجام وفا بھی دیکھ لیا اب کس لئے سر خم ہوتا ہے
نازک ہے مزاج حسن بہت سجدے سے بھی برہم ہوتا ہے
یہ آگ دہکتی ہے جتنی اتنا ہی دھواں کم دیتی ہے
احساس ستم بڑھ جاتا ہے تو شور فغاں کم ہوتا ہے
رگ رگ میں نظام فطرت کی رقصاں ہے محبت کی بجلی
ہو لاکھ تضاد اضداد میں بھی اک رابطہ باہم ہوتا ہے
مل جل کے بہ رنگ شیر و شکر دونوں کے نکھرتے ہیں جوہر
دریاؤں کے سنگم سے بڑھ کر تہذیبوں کا سنگم ہوتا ہے
تاراج نشیمن کھیل سہی صیاد مگر اتنا سن لے
جب عشق کی دنیا لٹتی ہے خود حسن کا ماتم ہوتا ہے
مستقبل ملت کے حق میں اقبال کا پرچم ہوتا ہے
منصور جو ہوتا اہل نظر تو دعوئ باطل کیوں کرتا
اس کی تو زباں کھلتی ہی نہیں جو راز کا محرم ہوتا ہے
تا چند سہیلؔ افسردۂ غم کیا یاد نہیں تاریخ حرم
ایماں کے جہاں پڑتے ہیں قدم پیدا وہیں زمزم ہوتا ہے
wo samne jab a jate hain sakte ka sa alam hota hai
is dil ki tabahi kya kahiye amrit bhi jise sam hota hai
dete hain usi ko jam-e-tarab jo jura kash gham hota hai
kab bagh-e-jahan hain khanda-e-gul be girya-e-shabnam hota hai
jab walwala sadiq hota hai jab azm-e-musammam hota hai
takmil ka saman ghaib se khud is waqt faraham hota hai
anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar kham hota hai
nazuk hai mizaj-e-husn bahut sajde se bhi barham hota hai
ye ag dahakti hai jitni itna hi dhuan kam deti hai
ehsas-e-sitam barh jata hai to shor-e-fughan kam hota hai
rag rag mein nizam-e-fitrat ki raqsan hai mohabbat ki bijli
ho lakh tazad azdad mein bhi ik rabta baham hota hai
mil jal ke ba rang sher-o-shakar donon ke nikharte hain jauhar
dariyaon ke sangam se barh kar tahzibon ka sangam hota hai
taraj-e-nasheman khel sahi sayyad magar itna sun le
jab ishq ki duniya lutti hai khud husn ka matam hota hai
mustaqbil millat ke haq mein iqbal ka parcham hota hai
mansur jo hota ahl-e-nazar to daawa-e-batil kyun karta
us ki to zaban khulti hi nahin jo raz ka mahram hota hai
ta chand sahel afsurda-e-gham kya yad nahin tarikh-e-haram
iman ke jahan parte hain qadam paida wahin zamzam hota hai