نگاہ یار سوں حاصل ہے مجھ کوں مے نوشی
داؤد اورنگ آبادینگاہ یار سوں حاصل ہے مجھ کوں مے نوشی
لب خموش نے بخشا ہے اس کے خاموشی
بجا ہے گر کرے عاشق کوں ایک دور میں مست
ہے جام چشم صنم میں شراب بے ہوشی
کیا ہے شوخ نے بر میں قبائے نافرماں
عدول کیوں نہ کرے وعدۂ ہم آغوشی
سجن کے ناوک مژگاں کے دل میں ہیبت رکھ
کیا ہے میں نے یہ دریا منے زرہ پوشی
کیا نہیں ہوں رقم خط میں اس سبب داؤدؔ
میں نامہ بر سوں کہا ہوں کہ راز ہے گوشی
nigah-e-yar sun hasil hai mujh kun mai noshi
lab-e-khamosh ne bakhsha hai us ke khamoshi
baja hai gar kare ashiq kun ek daur mein mast
hai jam-e-chashm-e-sanam mein sharab-e-be hoshi
kya hai shokh ne bar mein qaba-e-nafarman
udul kyun na kare waada-e-ham aghoshi
sajan ke nawak-e-mizhgan ke dil mein haibat rakh
kya hai main ne ye dariya mane zira poshi
kiya nahin hun raqam khat mein is sabab daud
main nama bar sun kaha hun ke raz hai goshi