مجھ کو تجھ سے جو کچھ محبت ہے
Khwaja Mir Dard (1721–1785)مجھ کو تجھ سے جو کچھ محبت ہے
یہ محبت نہیں ہے آفت ہے
لوگ کہتے ہیں عاشقی جس کو
میں جو دیکھا بڑی مصیبت ہے
بند احکام عقل میں رہنا
یہ بھی اک نوع کی حماقت ہے
ایک ایمان ہے بساط اپنی
نہ عبادت نہ کچھ ریاضت ہے
آ پھنسوں میں بتوں کے دام میں یوں
دردؔ یہ بھی خدا کی قدرت ہے
mujh ko tujh se jo kuchh mohabbat hai
ye mohabbat nahin hai afat hai
log kahte hain ashiqi jis ko
main jo dekha bari musibat hai
band ahkam aql mein rahna
ye bhi ik nau ki himaqat hai
ek iman hai bisat apni
na ibadat na kuchh riyazat hai
a phansun mein buton ke dam mein yun
dard ye bhi khuda ki qudrat hai