لیا ہے عشق نے کیا انتخاب کر کے مجھے
جمیلہ خدا بخشلیا ہے عشق نے کیا انتخاب کر کے مجھے
چنا جو بزم میں جام شراب کر کے مجھے
خطا و جرم پہ مجھ کو بہت ندامت تھی
دیا جو خلد میں جا بے حساب کر کے مجھے
تمہارے نقش قدم سے یہ آ رہی ہے صدا
قدم نے چھوڑ دیا ہم رکاب کر کے مجھے
خطا نہیں ہے مری اے صنم میں کیا کرتا
بٹھایا دشت میں دل نے عذاب کر کے مجھے
یہ خاک عاشق غمگیں سے آ رہی ہے صدا
قضا چلی گئی مصروف خواب کر کے مجھے
خدا کی شان تو دیکھو کہ ان کے گلشن میں
نسیم لے گئی بوئے گلاب کر کے مجھے
بنایا سجدہ گہہ انس و جن دلا نے مرے
جمیلہؔ سنگ در بو تراب کر کے مجھے
liya hai ishq ne kya intikhab kar ke mujhe
chuna jo bazm mein jam-e-sharab kar ke mujhe
khata-o-jurm pe mujh ko bahut nadamat thi
diya jo khuld mein ja be hisab kar ke mujhe
tumhare naqsh-e-qadam se ye a rahi hai sada
qadam ne chhor diya ham rikab kar ke mujhe
khata nahin hai miri ai sanam mein kya karta
bithaya dasht mein dil ne azab kar ke mujhe
ye khak-e-ashiq ghamgin se a rahi hai sada
qaza chali gai masruf-e-khwab kar ke mujhe
khuda ki shan to dekho ke un ke gulshan mein
nasim le gai bu-e-gulab kar ke mujhe
banaya sajda gah uns-o-jin dila ne mire
jamilahu sang-e-dar bu turab kar ke mujhe