عشق ہی عشق ہو عاشق ہو نہ معشوق جہاں
Brij Mohan Dattatreya Kaifi (1866–1955)عشق ہی عشق ہو عاشق ہو نہ معشوق جہاں
ایسی اک درگہ توحید مآب اور بھی ہے
ہوش سے کاٹ یہ دن زندہ دلی سے رکھ کام
شیب کے بعد مری جان شباب اور بھی ہے
یار مے خانے اگر کر گئے خالی غم کیا
اب بھی ابر آتا ہے اور خم میں شراب اور بھی ہے
گھر کیا غالبؔ و مومنؔ نے جہاں آنکھوں میں
اسی بستی میں کوئی خانہ خراب اور بھی ہے
ishq hi ishq ho ashiq ho na maashuq jahan
aisi ik dargah-e-tauhid mab aur bhi hai
hosh se kat ye din zinda dili se rakh kam
sheb ke baad miri jan-e-shabab aur bhi hai
yar mai khane agar kar gae khali gham kya
ab bhi abr ata hai aur kham mein sharab aur bhi hai
ghar kiya ghalib-o-momin ne jahan ankhon mein
isi basti mein koi khana kharab aur bhi hai