رہتا ہے ہمیشہ جو مری یار بغل میں
ہاجر دہلویرہتا ہے ہمیشہ جو مری یار بغل میں
جلتے ہیں اسے دیکھ کے اغیار بغل میں
کیا لطف ہو گر عیش کے سامان بہم ہوں
معشوق بھی ہو شوخ طرحدار بغل میں
ہر وقت جو آغوش میں رہتا تھا ہماری
اب اوس کو لیے پھرتے ہیں اغیار بغل میں
کس طرح میں سمجھوں کہ وہ کرتے ہیں محبت
آتے نہیں بھولے سے بھی اک بار بغل میں
مے نوشی کا جب حظ ہے کہ ہو بر لب دریا
ساغر ہو اگر ہاتھ میں تو یار بغل میں
سب مٹ گئی ہاجرؔ شب فرقت کی مصیبت
خوب اس کو دبا کر جو کیا پیار بغل میں
rahta hai hamesha jo miri yar baghal mein
jalte hain use dekh ke aghyar baghal mein
kya lutf ho gar aish ke saman baham hun
maashuq bhi ho shokh tarhdar baghal mein
har waqt jo aghosh mein rahta tha hamari
ab os ko liye phirte hain aghyar baghal mein
kis tarah main samjhun ke wo karte hain mohabbat
ate nahin bhule se bhi ik bar baghal mein
mai noshi ka jab haz hai ke ho bar lab-e-dariya
saghar ho agar hath mein to yar baghal mein
sab mit gai hajir shab-e-furqat ki musibat
khub us ko daba kar jo kiya pyar baghal mein