بزدل
Mustafa Zaidi (1930–1970)آج اک افسروں کے حلقے میں
ایک معتوب ماتحت آیا
اپنے افکار کا حساب لیے
اپنے ایمان کی کتاب لیے
ماتحت کی ضعیف آنکھوں میں
ایک بجھتی ہوئی ذہانت تھی
افسروں کے لطیف لہجے میں
قہر تھا، زہر تھا، خطابت تھی
یہ ہر اک دن کا واقعہ، اس دن
صرف اس اہمیت کا حامل تھا
کہ شرافت کے زعم کے با وصف
میں بھی ان افسروں میں شامل تھا
aj ik afsaron ke halqe mein
ek maatub mataht aya
apne afkar ka hisab liye
apne iman ki kitab liye
mataht ki zaif ankhon mein
ek bujhti hui zihanat thi
afsaron ke latif lahje mein
qahr tha, zahr tha, khitabat thi
ye har ik din ka waqia, us din
sirf is ahmiyat ka hamil tha
ke sharafat ke zaam ke ba wasf
main bhi in afsaron mein shamil tha