Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Ghazal byMirza Ghalib(1797–1869)

qafas meñ hūñ gar achchhā bhī na jāneñ mere shevan ko

قفس میں ہوں گر اچّھا بھی نہ جانیں میرے شیون کو

qafas meñ hūñ gar achchhā bhī na jāneñ mere shevan ko

mirā honā burā kyā hai navā sanjān-e-gulshan ko

nahīñ gar hamdamī āsāñ, na ho, ye rashk kyā kam hai

na dī hotī ḳhudā yā ārzū-e-dost, dushman ko

na niklā ānkh se terī ik ānsū is jarāhat par

kiyā sīne meñ jis ne ḳhūñ chakāñ mizhgān-e-sozan ko

ḳhudā sharmā.e hāthoñ ko ke rakhte haiñ kashākash meñ

kabhī mere garebāñ ko kabhī jānāñ ke dāman ko

abhī ham qatl gah kā dekhnā āsāñ samajhte haiñ

nahīñ dekhā shanāor jū-e-ḳhūñ meñ tere tosun ko

havā charchā jo mere pā.oñ kī zanjīr banne kā

kiyā betāb kāñ meñ jumbish-e-jauhar ne āhan ko

ḳhushī kyā, khet par mere, agar sau bār abr āve

samajhtā hūñ ke ḍhūñḍe hai abhī se barq-e-ḳhirman ko

vafādārī ba shart-e-ustuvārī asl-e-īmāñ hai

mare but ḳhāne meñ to ka.abe meñ gāṛo barahman ko

shahādat thī mirī qismat meñ jo dī thī ye ḳhū mujh ko

jahāñ talvār ko dekhā, jhukā detā thā gardan ko

na luṭṭā din ko to kab rāt ko yūñ be ḳhabar sotā

rahā khaṭkā na chorī kā duā detā hūñ rahzan ko

suḳhan kyā kah nahīñ sakte ke joyā hūñ javāhir ke

jigar kyā ham nahīñ rakhte ke khodeñ jā ke ma.adin ko

mire shāh-e-sulaimāñ jāh se nisbat nahīñ ġhālib

farīdūn-o-jam-o-kīḳhusrau-o-dārab-o-bahman ko