باعث کوئی ایسا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
Brij Mohan Dattatreya Kaifi (1866–1955)باعث کوئی ایسا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
ورنہ مجھے سودا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
الزام یہ جھوٹا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
کیا وہ مری سنتا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
جھوٹا ترا کہنا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
دعویٰ مرا سچا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
تو دیکھ رہا ہے جو مرا حال ہے قاصد
مجھ کو یہی کہنا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
کہنا جو نہ تھا کہہ گیا دیکھو تو ڈھٹائی
اور پھر کہے جاتا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
وہ ضد پہ تلے بیٹھے ہیں کیا بحث سے حاصل
موقع ہی یہ ایسا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
تھی سمع خراشی کی شکایت کبھی ان کو
اب سنتا ہوں شکوا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
بد گوئی سی بد گوئی ہے بہتان سا بہتان
اور اس پہ وہ کہتا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
میں کچھ کہوں تو ہاتھ وہ کانوں پہ ہیں دھرتے
اور الٹا یہ چھیڑا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
آتا ہے جو منہ پر وہ کہے جاتے ہیں بے روک
اور اس پہ یہ فقرا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
میں دیکھ چکا ہوں انہیں کہہ کہہ کے مگر کیا
اس کا ہی نتیجہ ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
میں کس سے کہوں کیا کہوں سنتا ہے وہاں کون
اس کا ہی یہ منشا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
یہ ترک محبت نہیں ان سے مگر اے دوست
رنج ایسا ہی پہنچا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
قینچی سی چلی چلتی ہے دیکھو تو زباں اور
اس پر بھی یہ دعویٰ ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
راز ان کے کھلے جاتے ہیں ایک ایک سبھوں پر
اور اس پہ تماشا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
سچ بات کے سننے کی انہیں تاب کہاں ہے
اس سے یہی اچھا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
باتیں ہیں کہ چھریاں سی چبھی جاتی ہیں دل میں
میرا ہی کلیجہ ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
میں کہنے پہ آؤں تو رلا کر انہیں چھوڑوں
مت پوچھ سبب کیا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
چپ چاپ سنی ان سنی کر دیتا ہوں ہر بات
غیروں میں بھی چرچا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
نازک ہے مزاج ان کا یہاں سچ کی ہے عادت
اس سمجھے سبب کیا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
بگڑا ہے مزاج اور کہیں تیز نہ ہو جائیں
مجھ کو یہی سانسا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
کیوں اپنی زباں سے کہوں پوچھو تم انہیں سے
راز اس میں نہیں یا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
جو رنج عزیزوں نے دئے کیا کہوں کیفیؔ
غیرت کا تقاضا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا
bais koi aisa hai ke main kuchh nahin kahta
warna mujhe sauda hai ke main kuchh nahin kahta
ilzam ye jhuta hai ke main kuchh nahin kahta
kya wo miri sunta hai ke main kuchh nahin kahta
jhuta tira kahna hai ke main kuchh nahin kahta
daawa mira sachcha hai ke main kuchh nahin kahta
tu dekh raha hai jo mira hal hai qasid
mujh ko yahi kahna hai ke main kuchh nahin kahta
kahna jo na tha kah gaya dekho to dhitai
aur phir kahe jata hai ke main kuchh nahin kahta
wo zid pe tale baithe hain kya bahs se hasil
mauqaa hi ye aisa hai ke main kuchh nahin kahta
thi sam-e-kharashi ki shikayat kabhi un ko
ab sunta hun shakwa hai ke main kuchh nahin kahta
bad goi si bad goi hai bohtan sa bohtan
aur us pe wo kahta hai ke main kuchh nahin kahta
main kuchh kahun to hath wo kanon pe hain dharte
aur ulta ye chhera hai ke main kuchh nahin kahta
ata hai jo munh par wo kahe jate hain be rok
aur us pe ye fuqara hai ke main kuchh nahin kahta
main dekh chuka hun unhen kah kah ke magar kya
us ka hi natija hai ke main kuchh nahin kahta
main kis se kahun kya kahun sunta hai wahan kaun
us ka hi ye mansha hai ke main kuchh nahin kahta
ye tark-e-mohabbat nahin un se magar ai dost
ranj aisa hi pahuncha hai ke main kuchh nahin kahta
qainchi si chali chalti hai dekho to zaban aur
us par bhi ye daawa hai ke main kuchh nahin kahta
raz un ke khule jate hain ek ek sabhon par
aur us pe tamasha hai ke main kuchh nahin kahta
sach bat ke sunne ki unhen tab kahan hai
us se yahi achchha hai ke main kuchh nahin kahta
baten hain ke chhuriyan si chubhi jati hain dil mein
mera hi kaleja hai ke main kuchh nahin kahta
main kahne pe aun to rula kar unhen chhorun
mat puchh sabab kya hai ke main kuchh nahin kahta
chup chap suni an suni kar deta hun har bat
ghairon mein bhi charcha hai ke main kuchh nahin kahta
nazuk hai mizaj un ka yahan sach ki hai adat
is samjhe sabab kya hai ke main kuchh nahin kahta
bigra hai mizaj aur kahin tez na ho jaen
mujh ko yahi sanasa hai ke main kuchh nahin kahta
kyun apni zaban se kahun puchho tum unhen se
raz is mein nahin ya hai ke main kuchh nahin kahta
jo ranj azizon ne diye kya kahun kaifi
ghairat ka taqaza hai ke main kuchh nahin kahta