باغ تھا اس میں آشیاں بھی تھا
Mushafi Ghulam Hamdani (1751–1824)باغ تھا اس میں آشیاں بھی تھا
چند روز آب و دانہ یاں بھی تھا
صوت بلبل جگر میں سالتی تھی
خندۂ گل نمک فشاں بھی تھا
خوان قسمت کے حاشیے پہ جلیں
کبھی یہ مشت استخواں بھی تھا
مرغ بستاں کو سامنے میرے
مصحفیؔ زہرۂ فغاں بھی تھا؟
انجمن میں میاں بشارت کی
یعنی اک شخص شعر خواں بھی تھا
bagh tha is mein ashiyan bhi tha
chand roz-e-ab-o-dana yan bhi tha
saut-e-bulbul jigar mein salati thi
khanda-e-gul namak fishan bhi tha
khwan qismat ke hashiye pe jalen
kabhi ye musht-e-ustukhwan bhi tha
murgh-e-bistan ko samne mere
mushafi zohra-e-fughan bhi tha?
anjuman mein miyan basharat ki
yaani ik shakhs sher khwan bhi tha