خرابی کچھ نہ پوچھو ملکت دل کی عمارت کی
Mir Taqi Mir (1723–1810)خرابی کچھ نہ پوچھو ملکت دل کی عمارت کی
غموں نے آج کل سنیو وہ آبادی ہی غارت کی
نگاہ مست سے جب چشم نے اس کی اشارت کی
حلاوت مے کی اور بنیاد میخانے کی غارت کی
سحر گہ میں نے پوچھا گل سے حال زار بلبل کا
پڑے تھے باغ میں یک مشت پر اودھر اشارت کی
جلایا جس تجلی جلوہ گر نے طور کو ہم دم
اسی آتش کے پر کالے نے ہم سے بھی شرارت کی
نزاکت کیا کہوں خورشید رو کی کل شب مہ میں
گیا تھا سائے سائے باغ تک تس پر حرارت کی
نظر سے جس کی یوسف سا گیا پھر اس کو کیا سوجھے
حقیقت کچھ نہ پوچھو پیر کنعاں کی بصارت کی
ترے کوچے کے شوق طوف میں جیسے بگولا تھا
بیاباں میں غبار میرؔ کی ہم نے زیارت کی
kharabi kuchh na puchho milkit dil ki imarat ki
ghamon ne aj kal suniyo wo abadi hi gharat ki
nigah-e-mast se jab chashm ne us ki isharat ki
halawat mai ki aur buniyad maikhane ki gharat ki
sahar gah main ne puchha gul se hal-e-zar bulbul ka
pare the bagh mein yak musht par udhar isharat ki
jalaya jis tajalli jalwa gar ne tur ko ham dam
isi atish ke par kale ne ham se bhi shararat ki
nazakat kya kahun khurshid ru ki kal shab-e-mah mein
gaya tha sae sae bagh tak tis par hararat ki
nazar se jis ki yusuf sa gaya phir us ko kya sujhe
haqiqat kuchh na puchho pir-e-kanan ki basarat ki
tire kuche ke shauq-e-tauf mein jaise bagula tha
bayaban mein ghubar-e-mir ki ham ne ziyarat ki