جہاں رنگ و بو ہے اور میں ہوں
Chandar Bhan Kaifi Dehelvi (1878–1941)جہاں رنگ و بو ہے اور میں ہوں
بہار آرزو ہے اور میں ہوں
سکوں کا کام کیا اس میکدے میں
ازل سے ہا و ہو ہے اور میں ہوں
الٰہی شرع میں رکھا ہی کیا ہے
نماز بے وضو ہے اور میں ہوں
جو تم آئے تو آئی جان میں جاں
مقدر روبرو ہے اور میں ہوں
مری رسوائیاں ہیں اور تم ہو
تمہاری گفتگو ہے اور میں ہوں
ترے دیدار کی جویا ہیں آنکھیں
تلاش چار سو ہے اور میں ہوں
عجب شے خود فراموشی ہے کیفیؔ
صراحی ہے سبو ہے اور میں ہوں
jahan rang-o-bu hai aur main hun
bahar-e-arzu hai aur main hun
sukun ka kam kya is maikade mein
azal se ha-o-ho hai aur main hun
ilahi shara mein rakha hi kya hai
namaz-e-be wuzu hai aur main hun
jo tum ae to ai jan mein jan
muqaddar rubaru hai aur main hun
miri ruswaiyan hain aur tum ho
tumhari guftugu hai aur main hun
tire didar ki joya hain ankhen
talash-e-char su hai aur main hun
ajab shai khud faramoshi hai kaifi
surahi hai subu hai aur main hun