ایک پرواز کو بھی رخصت صیاد نہیں
Mir Taqi Mir (1723–1810)ایک پرواز کو بھی رخصت صیاد نہیں
ورنہ یہ کنج قفس بیضۂ فولاد نہیں
شیخ عزلت تو تہ خاک بھی پہنچے گی بہم
مفت ہے سیر کہ یہ عالم ایجاد نہیں
داد لے چھوڑوں میں صیاد سے اپنی لیکن
ضعف سے میرے تئیں طاقت فریاد نہیں
کیوں ہی معذور بھی رکھ یوں تو سمجھ دل میں شیخ
یہ قدح خوار مرے قابل ارشاد نہیں
بے ستوں بھی ہے وہی اور وہی جوئے شیر
تھا نمک شہرت شیریں کا سو فرہاد نہیں
کیا کہوں میرؔ فراموش کیا ان نے تجھے
میں تو تقریب بھی کی پر تو اسے یاد نہیں
ek parwaz ko bhi rukhsat-e-sayyad nahin
warna ye kunj-e-qafas baiza-e-faulad nahin
shaikh-e-uzlat to tah-e-khak bhi pahunchegi baham
muft hai sair ke ye alam-e-ijad nahin
dad le chhoron mein sayyad se apni lekin
zof se mere tain taqat-e-fariyad nahin
kyun hi maazur bhi rakh yun to samajh dil mein shaikh
ye qadah khwar mire qabil-e-irshad nahin
be sutun bhi hai wahi aur wahi ju-e-sher
tha namak shohrat-e-shirin ka so farhad nahin
kya kahun mir-e-faramosh kiya un ne tujhe
main to taqrib bhi ki par to use yad nahin