جو بھی منجملۂ آشفتہ سرا ہوتا ہے
Abid Ali Abid (1906–1971)جو بھی منجملۂ آشفتہ سرا ہوتا ہے
زینت محفل صاحب نظراں ہوتا ہے
یہی دل جس کو شکایت ہے گراں جانی کی
یہی دل کار گہ شیشہ گراں ہوتا ہے
شاخ گلزار کے سائے میں کہاں دم لیجے
کہ یہاں خون کا سیل گزراں ہوتا ہے
کس کو دکھلائیے اپنوں کی ملامت کا سماں
کہ یہ اسلوب حدیث دگراں ہوتا ہے
کس کو بتلائیے وہ رابطۂ ناز و نیاز
ان کی محفل میں جو اے دیدہ وراں ہوتا ہے
کبھی کرتی ہے تجلی نگرانی دل کی
کبھی دل سوئے تجلی نگراں ہوتا ہے
مجھ پہ ہوتے ہیں غم دل کے صحیفے نازل
جن میں افسانۂ عالی گہراں ہوتا ہے
دل بھی دیتا ہے مجھے مشورۂ ترک وفا
کچھ تقاضائے جہان گزراں ہوتا ہے
میں تو ہوں شیفتۂ رنگ تغزل عابدؔ
کہ یہی شاہد خونیں جگراں ہوتا ہے
jo bhi minjumla-e-ashufta sara hota hai
zinat-e-mahfil sahab nazaran hota hai
yahi dil jis ko shikayat hai giran jani ki
yahi dil kar gah-e-shisha giran hota hai
shakh gulzar ke sae mein kahan dam lije
ke yahan khun ka sail-e-guzran hota hai
kis ko dikhlaiye apnon ki malamat ka saman
ke ye uslub-e-hadis-e-digaran hota hai
kis ko batlaiye wo rabta-e-naz-o-niyaz
un ki mahfil mein jo ai dida waran hota hai
kabhi karti hai tajalli nigrani dil ki
kabhi dil su-e-tajalli nigaran hota hai
mujh pe hote hain gham-e-dil ke sahife nazil
jin mein afsana-e-ali guharan hota hai
dil bhi deta hai mujhe mashwara-e-tark-e-wafa
kuchh taqaza-e-jahan-e-guzran hota hai
main to hun shefta-e-rang-e-taghazzul abid
ke yahi shahid-e-khunin jigaran hota hai