جب دوبارہ کسی عاشق کا جنم ہوتا ہے
Zarif Lakhnavi (1870–1937)جب دوبارہ کسی عاشق کا جنم ہوتا ہے
اک وفادار سگ کوئے صنم ہوتا ہے
تان اور تال کی تشریح مغنی جانے
جس کو کھا لیتے ہیں عشاق وہ سم ہوتا ہے
تیرا عاشق ہے مگر ضبط کی الٹی تصویر
چیخ اٹھتا ہے کبھی درد جو کم ہوتا ہے
تین حرف اس پہ جو کرتے نہیں اتنی سی بات
کاف رے میم کے ملنے سے کرم ہوتا ہے
بے تکی خط میں اڑاتے ہیں حسینان فرنگ
ہاتھ میں ان کے جہاں پر کا قلم ہوتا ہے
جو دکھاتے ہیں رہ عشق میں ثابت قدمی
ایسے عشاق کے پیروں میں ورم ہوتا ہے
مجھ کو معلوم نہیں درد ہے یا کیا شے ہے
کچھ مرے دل میں ترے سر کی قسم ہوتا ہے
jab dobara kisi ashiq ka janam hota hai
ik wafadar sag-e-ku-e-sanam hota hai
tan aur tal ki tashrih mughanni jane
jis ko kha lete hain ushshaq wo sam hota hai
tera ashiq hai magar zabt ki ulti taswir
chikh uthta hai kabhi dard jo kam hota hai
tin harf us pe jo karte nahin itni si bat
kaf re mem ke milne se karam hota hai
be taki khat mein urate hain hasinan-e-farang
hath mein un ke jahan par ka qalam hota hai
jo dikhate hain rah-e-ishq mein sabit qadami
aise ushshaq ke pairon mein waram hota hai
mujh ko maalum nahin dard hai ya kya shai hai
kuchh mire dil mein tire sar ki qasam hota hai