تم سے اب کامیاب اور ہی ہے
Taban Abdul Hai (1715–1749)تم سے اب کامیاب اور ہی ہے
آہ ہم پر عذاب اور ہی ہے
اس کو آئینہ کب پہنچتا ہے
حسن کی آب و تاب اور ہی ہے
رند واعظ سے کیوں کہ سربر ہو
اس کی چھو، کی کتاب اور ہی ہے
ہجر بھی کم نہیں ہے دوزخ سے
اس سفر کا عذاب اور ہی ہے
اس کو لگتی ہے کب کوئی تلوار
تیغ ابرو کی آب اور ہی ہے
یوں تو ہے سرخ یار کا چہرا
پر پئے جب شراب اور ہی ہے
مجھ کو اس نیند سے نہیں آرام
مجھ کو راحت کا خواب اور ہی ہے
بحث علمی سے کب ہیں یہ قائل
جاہلوں کا جواب اور ہی ہے
یاد میں تیری زلف و کاکل کی
دل کے تئیں پیچ و تاب اور ہی ہے
اس ستم گر کا مجھ پہ ہر ساعت
جور و ظلم و عذاب اور ہی ہے
کس طرح سے گہر کہوں تاباںؔ
اس کے دنداں میں آب اور ہی ہے
tum se ab kamyab aur hi hai
ah ham par azab aur hi hai
us ko aina kab pahunchta hai
husn ki ab-o-tab aur hi hai
rind waiz se kyun ke sarbar ho
us ki chhu, ki kitab aur hi hai
hijr bhi kam nahin hai dozakh se
is safar ka azab aur hi hai
us ko lagti hai kab koi talwar
tegh-e-abru ki ab aur hi hai
yun to hai surkh yar ka chehra
par piye jab sharab aur hi hai
mujh ko is nind se nahin aram
mujh ko rahat ka khwab aur hi hai
bahs ilmi se kab hain ye qail
jahilon ka jawab aur hi hai
yad mein teri zulf-o-kakul ki
dil ke tain pech-o-tab aur hi hai
us sitam gar ka mujh pe har saat
jaur-o-zulm-o-azab aur hi hai
kis tarah se guhar kahun taban
us ke dandan mein ab aur hi hai