تم بھی نگاہ میں ہو عدو بھی نظر میں ہے
ہجر ناظم علی خانتم بھی نگاہ میں ہو عدو بھی نظر میں ہے
دنیا ہمارے دیدۂ حسرت نگر میں ہے
ہاں جانتے ہیں جان کا خواہاں تمہیں کو ہم
معلوم ہے کہ تیغ تمہاری کمر میں ہے
کیا رشک ہے کہ ایک کا ہے ایک مدعی
تم دل میں ہو تو درد ہمارے جگر میں ہے
گو غیر کی بغل میں سہی وہ پری جمال
میں تو یہی کہوں گا کہ میری نظر میں ہے
دونوں نے درد عشق کو تقسیم کر لیا
تھوڑا سا دل میں ہے تو ذرا سا جگر میں ہے
میں بھی ہوں آج میں کہ بر آئی مراد دل
دل بھی ہے آج دل کہ وہ مہمان گھر میں ہے
ممنون ہوں خیال کا اپنے شب فراق
جو سامنے نظر کے نہیں وہ نظر میں ہے
دلبر ہو ایک تم کہ ہماری نظر میں ہو
دل ہے ہمارا دل کہ تمہاری نظر میں ہے
کہتے ہیں جس کو دل مرے پہلو میں اب کہاں
ہے بھی تو پائمال کسی رہ گزر میں ہے
دیکھو تو دیکھتے ہیں تمہیں کس نگاہ سے
حسرت ہے جس کا نام ہماری نظر میں ہے
جس پر پڑی پسیج گیا موم ہو گیا
ڈوبی ہوئی نگاہ ہماری اثر میں ہے
جچتا نہیں نگاہ میں کوئی حسیں بھی ہجرؔ
جب سے کسی کی چاند سی صورت نظر میں ہے
tum bhi nigah mein ho adu bhi nazar mein hai
duniya hamare dida-e-hasrat nagar mein hai
han jante hain jan ka khwahan tumhen ko ham
maalum hai ke tegh tumhari kamar mein hai
kya rashk hai ke ek ka hai ek muddai
tum dil mein ho to dard hamare jigar mein hai
go ghair ki baghal mein sahi wo pari jamal
main to yahi kahunga ke meri nazar mein hai
donon ne dard-e-ishq ko taqsim kar liya
thora sa dil mein hai to zara sa jigar mein hai
main bhi hun aj main ke bar ai murad-e-dil
dil bhi hai aj dil ke wo mehman ghar mein hai
mamnun hun khayal ka apne shab-e-firaq
jo samne nazar ke nahin wo nazar mein hai
dilbar ho ek tum ke hamari nazar mein ho
dil hai hamara dil ke tumhari nazar mein hai
kahte hain jis ko dil mire pahlu mein ab kahan
hai bhi to paimal kisi rah guzar mein hai
dekho to dekhte hain tumhen kis nigah se
hasrat hai jis ka nam hamari nazar mein hai
jis par pari pasij gaya mom ho gaya
dubi hui nigah hamari asar mein hai
jachta nahin nigah mein koi hasin bhi hijr
jab se kisi ki chand si surat nazar mein hai