اے شب ہجر کہیں تیری سحر ہے کہ نہیں
Mushafi Ghulam Hamdani (1751–1824)اے شب ہجر کہیں تیری سحر ہے کہ نہیں
نالۂ نیم شبی تجھ میں اثر ہے کہ نہیں
جان پر اپنی میں کھیلا ہوں جدائی میں تری
بے خبر تجھ کو بھی کچھ اس کی خبر ہے کہ نہیں
ایک مدت ہوئی ہم وصف کمر کرتے ہیں
پر یہ معلوم نہیں اس کے کمر ہے کہ نہیں
رکھ نہ سوزن کو ذرا دیکھ تو لے اے جراح
قابل بخیہ مرا زخم جگر ہے کہ نہیں
کیا خوش آئی ہے دلا منزل ہستی تجھ کو
سچ بتا یاں سے ترا عزم سفر ہے کہ نہیں
تو جو بے پردہ ہو منہ غیر کو دکھلاتا ہے
پاس میرا بھی کچھ اے رشک قمر ہے کہ نہیں
دیکھ تو اے بت بے مہر تری فرقت میں
ہر بن موے مرا دیدۂ تر ہے کہ نہیں
اس کے در پر ہی جو رہتا ہوں میں دن رات پڑا
مجھ سے جھنجھلا کے کہے ہے ترے گھر ہے کہ نہیں
مصحفیؔ اس کی گلی میں جو تو جاتا ہے سدا
اپنی بدنامی کا کچھ تجھ کو بھی ڈر ہے کہ نہیں
ai shab-e-hijr kahin teri sahar hai ke nahin
nala-e-nim shabi tujh mein asar hai ke nahin
jan par apni mein khela hun judai mein tiri
be khabar tujh ko bhi kuchh us ki khabar hai ke nahin
ek muddat hui ham wasf kamar karte hain
par ye maalum nahin us ke kamar hai ke nahin
rakh na sozan ko zara dekh to le ai jarrah
qabil-e-bakhiya mira zakhm-e-jigar hai ke nahin
kya khush ai hai dila manzil-e-hasti tujh ko
sach bata yan se tira azm-e-safar hai ke nahin
tu jo be parda ho munh ghair ko dikhlata hai
pas mera bhi kuchh ai rashk-e-qamar hai ke nahin
dekh to ai but-e-be mehr tiri furqat mein
har ban mue mira dida-e-tar hai ke nahin
us ke dar par hi jo rahta hun main din rat para
mujh se jhanjhla ke kahe hai tire ghar hai ke nahin
mushafi us ki gali mein jo tu jata hai sada
apni badnami ka kuchh tujh ko bhi dar hai ke nahin