اول تو یہ دھج اور یہ رفتار غضب ہے
Mushafi Ghulam Hamdani (1751–1824)اول تو یہ دھج اور یہ رفتار غضب ہے
تس پہ ترے پازیب کی جھنکار غضب ہے
کیوں کر نہ تجھے دوڑ کے چھاتی سے لگا لوں
پھولوں کا گلے میں ترے یہ ہار غضب ہے
جب دیکھوں ہوں کرتی ہے مرے دل کو پریشاں
آشفتگیٔ طرۂ طرار غضب ہے
اے کاش یہ آنکھیں مجھے یہ دن نہ دکھاتیں
اس شوق پہ محرومیٔ دیدار غضب ہے
خورشید کا منہ ہے کہ طرف ہو سکے اس سے
یعنی وہ بر افروختہ رخسار غضب ہے
میں اور کسی بات کا شاکی نہیں تجھ سے
یہ وقت کے اوپر ترا انکار غضب ہے
اب تک حرم وصل سے محرم نہ ہوئے ہم
کعبے میں حجاب در و دیوار غضب ہے
گر ایک غضب ہو تو کوئی اس کو اٹھاوے
رفتار غضب ہے تری گفتار غضب ہے
فرہاد بچا عشق سے نے قیس نہ وامق
جی لے ہی کے جاتا ہے یہ آزار غضب ہے
اے مصحفیؔ اس شوق سے ٹک بچ کے تو چلنا
سنتا ہے میاں وہ بت خوں خار غضب ہے
awwal to ye dhaj aur ye raftar ghazab hai
tis pe tire pazeb ki jhankar ghazab hai
kyun kar na tujhe daur ke chhati se laga lun
phulon ka gale mein tire ye har ghazab hai
jab dekhun hun karti hai mire dil ko pareshan
ashuftagi-e-turra-e-tarrar ghazab hai
ai kash ye ankhen mujhe ye din na dikhatin
is shauq pe mahrumi-e-didar ghazab hai
khurshid ka munh hai ke taraf ho sake us se
yaani wo bar afrokhta rukhsar ghazab hai
main aur kisi bat ka shaki nahin tujh se
ye waqt ke upar tira inkar ghazab hai
ab tak haram-e-wasl se mahram na hue ham
kaabe mein hijab-e-dar-o-diwar ghazab hai
gar ek ghazab ho to koi us ko uthawe
raftar ghazab hai tiri guftar ghazab hai
farhad bacha ishq se ne qais na wamiq
ji le hi ke jata hai ye azar ghazab hai
ai mushafi is shauq se tuk bach ke to chalna
sunta hai miyan wo but-e-khun khar ghazab hai