اس گوشۂ عزلت میں تنہائی ہے اور میں ہوں
Mushafi Ghulam Hamdani (1751–1824)اس گوشۂ عزلت میں تنہائی ہے اور میں ہوں
معشوق تصور سے یکجائی ہے اور میں ہوں
یا گھر سے قدم میرا باہر نہ نکلتا تھا
یا شہر کی گلیوں میں رسوائی ہے اور میں ہوں
جس دشت میں ناقے کا گزرا نہ قدم ہرگز
اس دشت میں مجنوں سا سودائی ہے اور میں ہوں
ناصح کی نہ میں مانوں ہم دم کی نہ کچھ سمجھوں
اس عشق و محبت میں خود آرائی ہے اور میں ہوں
ہر چند جنون عشق ہوتا ہے خرد دشمن
اے مصحفیؔ اس پر بھی دانائی ہے اور میں ہوں
is gosha-e-uzlat mein tanhai hai aur main hun
maashuq tasawwur se yakjai hai aur main hun
ya ghar se qadam mera bahar na nikalta tha
ya shahr ki galiyon mein ruswai hai aur main hun
jis dasht mein naqe ka guzra na qadam hargiz
is dasht mein majnun sa saudai hai aur main hun
naseh ki na main manun ham dam ki na kuchh samjhun
is ishq-o-mohabbat mein khud arai hai aur main hun
har chand junun-e-ishq hota hai khirad dushman
ai mushafi us par bhi danai hai aur main hun