اب تو زندہ ہوئے ہیں ہم مر کے
Qamar Hilaliاب تو زندہ ہوئے ہیں ہم مر کے
آئیے دیکھ لیں نظر بھر کے
ساغر موت دے مجھے بھر کے
ان کے وعدے ہیں روز محشر کے
یاد آتی ہیں یار کی آنکھیں
ساقیا جام دے مجھے بھر کے
زندہ رہتے ہیں یا کہ مرتے ہیں
منتظر ہیں وصال دلبر کے
نامہ بر کا پتہ نہیں شاید
کاٹ ڈالے ہوں پر کبوتر کے
ایک ہی وار میں تمام کیا
صدقے ہو جاؤں تیرے خنجر کے
صبح رخ پر پڑی ہے گیسوئے شب
اب ہیں مہمان ہم بھی شب بھر کے
بحر دل ہو گیا ہے طوفاں میں
اڑ گئے ہوش دیدۂ تر کے
نقش پا بن کے اے قمرؔ رہنا
پیر و مرشد کے اور پیمبر کے
ab to zinda hue hain ham mar ke
aiye dekh len nazar bhar ke
saghar-e-maut de mujhe bhar ke
un ke waade hain roz-e-mahshar ke
yad ati hain yar ki ankhen
saqiya jam de mujhe bhar ke
zinda rahte hain ya ke marte hain
muntazir hain wisal dilbar ke
nama bar ka pata nahin shayad
kat dale hun par kabutar ke
ek hi war mein tamam kiya
sadqe ho jaun tere khanjar ke
subh rukh par pari hai gesu-e-shab
ab hain mehman ham bhi shab bhar ke
bahr-e-dil ho gaya hai tufan mein
ur gae hosh dida-e-tar ke
naqsh-e-pa ban ke ai qamar rahna
pir-o-murshid ke aur payambar ke