اب تو یہ بھی نہیں رہا احساس
Jigar Moradabadi (1890–1960)اب تو یہ بھی نہیں رہا احساس
درد ہوتا ہے یا نہیں ہوتا
عشق جب تک نہ کر چکے رسوا
آدمی کام کا نہیں ہوتا
ٹوٹ پڑتا ہے دفعتاً جو عشق
بیشتر دیر پا نہیں ہوتا
وہ بھی ہوتا ہے ایک وقت کہ جب
ماسوا ماسوا نہیں ہوتا
ہائے کیا ہو گیا طبیعت کو
غم بھی راحت فزا نہیں ہوتا
دل ہمارا ہے یا تمہارا ہے
ہم سے یہ فیصلہ نہیں ہوتا
جس پہ تیری نظر نہیں ہوتی
اس کی جانب خدا نہیں ہوتا
میں کہ بے زار عمر بھر کے لیے
دل کہ دم بھر جدا نہیں ہوتا
وہ ہمارے قریب ہوتے ہیں
جب ہمارا پتا نہیں ہوتا
دل کو کیا کیا سکون ہوتا ہے
جب کوئی آسرا نہیں ہوتا
ہو کے اک بار سامنا ان سے
پھر کبھی سامنا نہیں ہوتا
ab to ye bhi nahin raha ehsas
dard hota hai ya nahin hota
ishq jab tak na kar chuke ruswa
admi kam ka nahin hota
tut parta hai dafatan jo ishq
beshtar der pa nahin hota
wo bhi hota hai ek waqt ke jab
masiwa masiwa nahin hota
hae kya ho gaya tabiat ko
gham bhi rahat faza nahin hota
dil hamara hai ya tumhara hai
ham se ye faisla nahin hota
jis pe teri nazar nahin hoti
us ki janib khuda nahin hota
main ke be zar umr bhar ke liye
dil ke dam bhar juda nahin hota
wo hamare qarib hote hain
jab hamara pata nahin hota
dil ko kya kya sukun hota hai
jab koi asra nahin hota
ho ke ik bar samna un se
phir kabhi samna nahin hota