اللہ اللہ وصل کی شب اس قدر اعجاز ہے
بوم میرٹھیاللہ اللہ وصل کی شب اس قدر اعجاز ہے
ایک ذرا سی چیز ہے اس پر بھی اتنا ناز ہے
خیر ہو یا رب کے حسن و عشق کا آغاز ہے
اس طرف دل ہے ادھر سسری نگاہ ناز ہے
جب بہار آئی موے پنجرے چمن کو اڑ گیا
اس مصیبت پر بھی اتنی قوت پرواز ہے
چھٹ گئیں نبضیں ہوئے لب بند پتلی پھر گئیں
اور وہ مردود کہتا ہے کہ یہ دم باز ہے
غیر نے مجھ کو ستا کر جیل کی کھائی ہوا
یہ نہ سمجھا تھا کہ اس کا لٹھ بے آواز ہے
جب کہا اس نے کہ اٹھ بے جھٹ میں زندہ ہو گیا
بات کی تو بات ہے اعجاز کا اعجاز ہے
توڑ کر بدنام تم دل کو مرے ہو جاؤ گے
اس میں پوشیدہ محبت کا تمہاری راز ہے
غیر کو لائے ہیں میرے گھر وہ مع بسترے
بھید اس میں بھی کوئی اس میں بھی کوئی راز ہے
عشق میں پیدا نہیں ہوتا ہے سسرا انقلاب
حسن دے جاتا ہے دھوکہ حسن دھوکہ باز ہے
اب کوئی دن بھی بڑھاپا ٹھوکریں کھلوائے گا
حسن ہے چند روزہ جس پہ تم کو ناز ہے
نوچ کر میرے پروں کو کر دیا ہے ڈنڈ منڈ
اب نہ قوے ہے نہ مجھ میں طاقت پرواز ہے
وصل کی شب چار دم چھلے بھی ان کے ساتھ ہیں
یعنی شوخی ہے شرارت ہے حیا ہے ناز ہے
غیر کی کچھ حیثیت بھی آپ کو معلوم ہے
خود ہے چوکیدار بادہ اس کا برفنداز ہے
میری فریاد و فغاں سن کر حرامی نے کہا
یہ اسی الو کے پٹھے بومؔ کی آواز ہے
allah allah wasl ki shab is qadar ejaz hai
ek zara si chiz hai us par bhi itna naz hai
khair ho ya rab ke husn-o-ishq ka aghaz hai
is taraf dil hai idhar susri nigah-e-naz hai
jab bahar ai mue pinjre chaman ko ur gaya
is musibat par bhi itni quwwat-e-parwaz hai
chhut gain nabzen hue lab band putli phir gain
aur wo mardud kahta hai ke ye dam baz hai
ghair ne mujh ko sata kar jel ki khai hua
ye na samjha tha ke us ka lath be awaz hai
jab kaha us ne ke uth be jhat mein zinda ho gaya
bat ki to bat hai ejaz ka ejaz hai
tor kar badnam tum dil ko mire ho jaoge
is mein poshida mohabbat ka tumhari raz hai
ghair ko lae hain mere ghar wo ma-e-bistare
bhed is mein bhi koi is mein bhi koi raz hai
ishq mein paida nahin hota hai susra inqilab
husn de jata hai dhoka husn dhoka baz hai
ab koi din bhi burhapa thokaren khulwaega
husn hai chand roza jis pe tum ko naz hai
noch kar mere paron ko kar diya hai dand mand
ab na qawe hai na mujh mein taqat-e-parwaz hai
wasl ki shab char dam chhile bhi un ke sath hain
yaani shokhi hai shararat hai haya hai naz hai
ghair ki kuchh haisiyyat bhi ap ko maalum hai
khud hai chaukidar bada us ka barfandaz hai
meri fariyad-o-fughan sun kar harami ne kaha
ye isi ullu ke patthe bum ki awaz hai