ہار جیت
Mustafa Zaidi (1930–1970)میری بن جانے پہ آمادہ ہے وہ جان حیات
جو کسی اور سے پیمان وفا رکھتی ہے
میرے آغوش میں آنے کے لئے راضی ہے
جو کسی اور کو سینے میں چھپا رکھتی ہے
شاعری ہی نہیں کچھ باعث عزت مجھ کو
اور بہت کچھ حسد و رشک کے اسباب میں ہے
مجھ کو حاصل ہے وہ معیار شب و روز کہ جو
اس کے محبوب کے ہاتوں میں نہیں خواب میں ہے
کون جیتے گا یہ بازی مجھے معلوم نہیں
زندگی میں مجھے کیا اور اسے کیا مل جائے
کاش وہ زینت آغوش کسی کی بن جائے
اور مجھے گرمئ پیمان وفا مل جائے
meri ban jane pe amada hai wo jan-e-hayat
jo kisi aur se paiman-e-wafa rakhti hai
mere aghosh mein ane ke liye razi hai
jo kisi aur ko sine mein chhupa rakhti hai
shayari hi nahin kuchh bais-e-izzat mujh ko
aur bahut kuchh hasad-o-rashk ke asbab mein hai
mujh ko hasil hai wo meyar-e-shab-o-roz ke jo
us ke mahbub ke hatun mein nahin khwab mein hai
kaun jitega ye bazi mujhe maalum nahin
zindagi mein mujhe kya aur use kya mil jae
kash wo zinat-e-aghosh kisi ki ban jae
aur mujhe garmi-e-paiman-e-wafa mil jae