وصل میں آپس کی حجت اور ہے
Hafeez Jaunpuri (1868–1959)وصل میں آپس کی حجت اور ہے
اس شکر رنجی میں لذت اور ہے
کچھ نہیں وعدہ خلافی کا گلہ
آپ سے ہم کو شکایت اور ہے
صبح ہوتے ہی بدل جائے گی آنکھ
رات بھر ان کی عنایت اور ہے
وعظ کہتا ہے جو مے خانے کے پاس
مے کشو واعظ کی نیت اور ہے
سانس اکھڑی ہے ترے بیمار کی
اب کوئی دم کی مصیبت اور ہے
حوریں بھی اچھی ہیں اے زاہد مگر
ان پری زادوں کی صورت اور ہے
علم جوہر ہے حفیظؔ انسان کا
سچ ہے لیکن آدمیت اور ہے
wasl mein apas ki hujjat aur hai
is shakar ranji mein lazzat aur hai
kuchh nahin waada khilafi ka gila
ap se ham ko shikayat aur hai
subh hote hi badal jaegi ankh
rat bhar un ki inayat aur hai
waaz kahta hai jo mai khane ke pas
mai kasho waiz ki niyyat aur hai
sans ukhri hai tire bimar ki
ab koi dam ki musibat aur hai
huren bhi achchhi hain ai zahid magar
un pari zadon ki surat aur hai
ilm jauhar hai hafiz insan ka
sach hai lekin admiyyat aur hai