مرغ زیرک عقل کا ہے عشق کا صیاد شوخ
علیم اللہمرغ زیرک عقل کا ہے عشق کا صیاد شوخ
عقل ہے بسیار شیریں عشق کا فرہاد شوخ
عقل اپنے دام میں کرتا ہے کل عالم کو قید
بند اور زنجیر سوں نت عشق ہے آزاد شوخ
عقل بوجھا عاشقاں سب واجب التعذیر ہیں
قاتل عقل و فہم ہے عشق کا جلاد شوخ
عقل کو سب ملک میں ہے داد انصاف و عدل
کیا نہایت عشق کا ہے بادشہ بیداد شوخ
فہم اور فکرت میں اپنی عقل گر فولاد ہے
آب کرتا ہے گلا کر عشق کا حداد شوخ
عقل کے میزاں میں آیا بحر اور بر کا حساب
نہیں مگر آیا عدد میں عشق کا تعداد شوخ
عقل سوں جانے گزر تب عاشقاں پاتے ہیں وصل
اے علیمؔ اللہ عجب ہے عشق کا ارشاد شوخ
murgh-e-zirak aql ka hai ishq ka sayyad shokh
aql hai bisyar shirin ishq ka farhad shokh
aql apne dam mein karta hai kal alam ko qaid
band aur zanjir sun nit ishq hai azad shokh
aql bujha ashiqan sab wajib altaazir hain
qatil aql-o-fahm hai ishq ka jallad shokh
aql ko sab mulk mein hai dad insaf-o-adl
kya nihayat ishq ka hai badshah bedad shokh
fahm aur fikrat main apni aql gar faulad hai
ab karta hai gila kar ishq ka haddad shokh
aql ke mizan mein aya bahr aur bar ka hisab
nahin magar aya adad mein ishq ka taadad shokh
aql sun jane guzar tab ashiqan pate hain wasl
ai alim allah ajab hai ishq ka irshad shokh