شرکت محفل
Nazm Tabatabai (1854–1933)تو ہمیشہ رہتا ہے چیں بر جبیں افسردہ دل
پھر کسی کی بزم عشرت میں نہ جا بہر خدا
خود ہی اپنی جان سے بے زار تو انصاف کر
تجھ سے اہل بزم پھر کس طرح خوش ہوں گے بھلا
چاہیئے اس طرح جانا محفل احباب میں
باغ میں جس طرح خوش خوش آتی ہے باد صبا
خیر مقدم کا اشارہ جھوم کر کرتی ہے شاخ
اور چٹک کر دیتی ہیں کلیاں صدائے مرحبا
جس شجر کے پاس سے گزرے لگا وہ جھومنے
پہنچے جس غنچے تک افسردہ تھا وہ ہنسنے لگا
دل پہ جو گزرے وہ گزرے کیوں کسی کو ہو خبر
سب سے بڑھ کر ہے خدا تو حال دل کا جانتا
شادی و غم جب کہ دونوں ہیں جہاں میں بے ثبات
وقت اپنا کاٹ دے ہنس بول کر بہر خدا
tu hamesha rahta hai chin bar jabin afsurda dil
phir kisi ki bazm-e-ishrat mein na ja bahr-e-khuda
khud hi apni jan se be zar to insaf kar
tujh se ahl-e-bazm phir kis tarah khush honge bhala
chahiye is tarah jana mahfil-e-ahbab mein
bagh mein jis tarah khush khush ati hai bad-e-saba
khair maqdam ka ishara jhum kar karti hai shakh
aur chutak kar deti hain kaliyan sada-e-marhaba
jis shajar ke pas se guzre laga wo jhumne
pahunche jis ghunche tak afsurda tha wo hansne laga
dil pe jo guzre wo guzre kyun kisi ko ho khabar
sab se barh kar hai khuda to hal-e-dil ka janta
shadi-o-gham jab ke donon hain jahan mein be sabat
waqt apna kat de hans bol kar bahr-e-khuda