سیراب آب جو سے قدح اور قدح سے ہم
Mushafi Ghulam Hamdani (1751–1824)سیراب آب جو سے قدح اور قدح سے ہم
سر خوش گلوں کی بو سے قدح اور قدح سے ہم
مکھڑے پہ ہے گلال جو اس مست ناز کے
رنگیں ہے عکس رو سے قدح اور قدح سے ہم
پیر مغاں کرم ہے جو سیراب ہو سکے
تیرے نم وضو سے قدح اور قدح سے ہم
بزم شراب رقص کی مجلس سے کم نہیں
ناچے ہے پرملو سے قدح اور قدح سے ہم
حلقے نہیں یہ زلف میں ساقی کی بلکہ ہے
وابستہ مو بہ مو سے قدح اور قدح سے ہم
حرمت لکھی شراب کی یاں تک کہ کھنچ رہا
زاہد کی گفتگو سے قدح اور قدح سے ہم
شیشہ جو پھوٹ جائے تو پھوٹے ولے نہ ہو
یارب جدا سبو سے قدح اور قدح سے ہم
وہ تفرقہ پڑا کہ بہت دور رہ گیا
دست پیالہ جو سے قدح اور قدح سے ہم
اے مصحفیؔ ہمیں تو گوارا نہیں یہ نیش
نوش اس کے لب سے چوسے قدح اور قدح سے ہم
sairab ab ju se qadah aur qadah se ham
sar khush gulon ki bu se qadah aur qadah se ham
mukhre pe hai gulal jo is mast-e-naz ke
rangin hai aks ro se qadah aur qadah se ham
pir-e-mughan karam hai jo sairab ho sake
tere nam-e-wuzu se qadah aur qadah se ham
bazm-e-sharab raqs ki majlis se kam nahin
nache hai purmilo se qadah aur qadah se ham
halqe nahin ye zulf mein saqi ki balke hai
wabasta mu ba mu se qadah aur qadah se ham
hurmat likhi sharab ki yan tak ke khinch raha
zahid ki guftugu se qadah aur qadah se ham
shisha jo phut jae to phute wale na ho
yarab juda subu se qadah aur qadah se ham
wo tafriqa para ke bahut dur rah gaya
dast-e-pyala jo se qadah aur qadah se ham
ai mushafi hamen to gawara nahin ye nesh
nosh us ke lab se chuse qadah aur qadah se ham