سرمایہ داری
Majaz Lakhnawi (1911–1955)کلیجہ پھنک رہا ہے اور زباں کہنے سے عاری ہے
بتاؤں کیا تمہیں کیا چیز یہ سرمایہ داری ہے
یہ وہ آندھی ہے جس کی رو میں مفلس کا نشیمن ہے
یہ وہ بجلی ہے جس کی زد میں ہر دہقاں کا خرمن ہے
یہ اپنے ہاتھ میں تہذیب کا فانوس لیتی ہے
مگر مزدور کے تن سے لہو تک چوس لیتی ہے
یہ انسانی بلا خود خون انسانی کی گاہک ہے
وبا سے بڑھ کے مہلک موت سے بڑھ کر بھیانک ہے
نہ دیکھے ہیں برے اس نے نہ پرکھے ہیں بھلے اس نے
شکنجوں میں جکڑ کر گھونٹ ڈالے ہیں گلے اس نے
بلائے بے اماں ہے طور ہی اس کے نرالے ہیں
کہ اس نے غیظ میں اجڑے ہوئے گھر پھونک ڈالے ہیں
قیامت اس کے غمزے جان لیوا ہیں ستم اس کے
ہمیشہ سینۂ مفلس پہ پڑتے ہیں قدم اس کے
کہیں یہ خوں سے فرد مال و زر تحریر کرتی ہے
کہیں یہ ہڈیاں چن کر محل تعمیر کرتی ہے
غریبوں کا مقدس خون پی پی کر بہکتی ہے
محل میں ناچتی ہے رقص گاہوں میں تھرکتی ہے
بظاہر چند فرعونوں کا دامن بھر دیا اس نے
مگر گل باغ عالم کو جہنم کر دیا اس نے
درندے سر جھکا دیتے ہیں لوہا مان کر اس کا
نظر سفاک تر اس کی نفس مکروہ تر اس کا
جدھر چلتی ہے بربادی کے ساماں ساتھ چلتے ہیں
نحوست ہم سفر ہوتی ہے شیطاں ساتھ چلتے ہیں
یہ اکثر لوٹ کر معصوم انسانوں کو راہوں میں
خدا کے زمزمے گاتی ہے چھپ کر خانقاہوں میں
یہ ڈائن ہے بھری گودوں سے بچے چھین لیتی ہے
یہ غیرت چھین لیتی ہے حمیت چھین لیتی ہے
یہ انسانوں سے انسانوں کی فطرت چھین لیتی ہے
یہ آشوب ہلاکت فتنۂ اسکندر و دارا
زمیں کے دیوتاؤں کی کنیز انجمن آرا
ہمیشہ خون پی کر ہڈیوں کے رتھ میں چلتی ہے
زمانہ چیخ اٹھتا ہے یہ جب پہلو بدلتی ہے
گرجتی گونجتی یہ آج بھی میداں میں آتی ہے
مگر بد مست ہے ہر ہر قدم پر لڑکھڑاتی ہے
مبارک دوستو لبریز ہے اب اس کا پیمانہ
اٹھاؤ آندھیاں کمزور ہے بنیاد کاشانہ
kaleja phink raha hai aur zaban kahne se ari hai
bataun kya tumhen kya chiz ye sarmaya dari hai
ye wo andhi hai jis ki rau mein muflis ka nasheman hai
ye wo bijli hai jis ki zad mein har dehqan ka khirman hai
ye apne hath mein tahzib ka fanus leti hai
magar mazdur ke tan se lahu tak chus leti hai
ye insani bala khud khun-e-insani ki gahak hai
waba se barh ke mohlik maut se barh kar bhayanak hai
na dekhe hain bure us ne na parkhe hain bhale us ne
shikanjon mein jakar kar ghunt dale hain gale us ne
bulae be aman hai tur hi us ke nirale hain
ke us ne ghaiz mein ujre hue ghar phunk dale hain
qayamat us ke ghamze jan lewa hain sitam us ke
hamesha sina-e-muflis pe parte hain qadam us ke
kahin ye khun se fard-e-mal-o-zar tahrir karti hai
kahin ye haddiyan chun kar mahal taamir karti hai
gharibon ka muqaddas khun pi pi kar bahakti hai
mahal mein nachti hai raqs gahon mein thirakti hai
bazahir chand firaunon ka daman bhar diya us ne
magar gul bagh alam ko jahannam kar diya us ne
darinde sar jhuka dete hain loha man kar us ka
nazar saffak tar us ki nafas makruh tar us ka
jidhar chalti hai barbadi ke saman sath chalte hain
nuhusat ham safar hoti hai shaitan sath chalte hain
ye aksar laut kar maasum insanon ko rahon mein
khuda ke zamzame gati hai chhup kar khanqahon mein
ye dain hai bhari godon se bachche chhin leti hai
ye ghairat chhin leti hai hamiyyat chhin leti hai
ye insanon se insanon ki fitrat chhin leti hai
ye ashob-e-halakat fitna-e-iskandar-o-dara
zamin ke dewtaon ki kaniz anjuman ara
hamesha khun pi kar haddiyon ke rath mein chalti hai
zamana chikh uthta hai ye jab pahlu badalti hai
garajti gunjti ye aj bhi maidan mein ati hai
magar bad mast hai har har qadam par larkharati hai
mubarak dosto labrez hai ab us ka paimana
uthao andhiyan kamzor hai buniyad kashana