خوشا بیداد خون حسرت بیداد ہوتا ہے
Jigar Moradabadi (1890–1960)خوشا بیداد خون حسرت بیداد ہوتا ہے
ستم ایجاد کرتے ہو کرم ایجاد ہوتا ہے
بظاہر کچھ نہیں کہتے مگر ارشاد ہوتا ہے
ہم اس کے ہیں جو ہم پر ہر طرح برباد ہوتا ہے
مرے ناشاد رہنے پر وہ جب ناشاد ہوتا ہے
بتاؤں کیا جو میرا عالم فریاد ہوتا ہے
یہی ہے راز آزادی جہاں تک یاد ہوتا ہے
کہ نظریں قید ہوتی ہیں تو دل آزاد ہوتا ہے
دل عاشق بھی کیا مجموعۂ اضداد ہوتا ہے
ادھر آباد ہوتا ہے ادھر برباد ہوتا ہے
وہ ہر اک واقعہ جو صورت افتاد ہوتا ہے
کبھی پہلے بھی دیکھا تھا کچھ ایسا یاد ہوتا ہے
بڑی مشکل سے پیدا ایک وہ آدم زاد ہوتا ہے
جو خود آزاد جس کا ہر نفس آزاد ہوتا ہے
نگاہیں کیا کہ پہروں دل بھی واقف ہو نہیں سکتا
زبان حسن سے ایسا بھی کچھ ارشاد ہوتا ہے
تمہیں ہو طعنہ زن مجھ پر تمہیں انصاف سے کہہ دو
کوئی اپنی خوشی سے خانماں برباد ہوتا ہے
یہ مانا ننگ پابندی سے کیا آزاد کو مطلب
مگر وہ شرم آزادی سے بھی آزاد ہوتا ہے
تصور میں ہے کچھ ایسا تری تصویر کا عالم
کہ جیسے اب لب نازک سے کچھ ارشاد ہوتا ہے
کوئی حد ہی نہیں شاید محبت کے فسانے کی
سناتا جا رہا ہے جس کو جتنا یاد ہوتا ہے
khusha bedad khun-e-hasrat bedad hota hai
sitam ijad karte ho karam ijad hota hai
bazahir kuchh nahin kahte magar irshad hota hai
ham us ke hain jo ham par har tarah barbad hota hai
mire nashad rahne par wo jab nashad hota hai
bataun kya jo mera alam-e-fariyad hota hai
yahi hai raz-e-azadi jahan tak yad hota hai
ke nazren qaid hoti hain to dil azad hota hai
dil-e-ashiq bhi kya majmua-e-azdad hota hai
idhar abad hota hai idhar barbad hota hai
wo har ik waqia jo surat-e-uftad hota hai
kabhi pahle bhi dekha tha kuchh aisa yad hota hai
bari mushkil se paida ek wo adam zad hota hai
jo khud azad jis ka har nafas azad hota hai
nigahen kya ke pahron dil bhi waqif ho nahin sakta
zaban-e-husn se aisa bhi kuchh irshad hota hai
tumhen ho taana zan mujh par tumhen insaf se kah do
koi apni khushi se khanuman barbad hota hai
ye mana nang-e-pabandi se kya azad ko matlab
magar wo sharm azadi se bhi azad hota hai
tasawwur mein hai kuchh aisa tiri taswir ka alam
ke jaise ab lab-e-nazuk se kuchh irshad hota hai
koi had hi nahin shayad mohabbat ke fasane ki
sunata ja raha hai jis ko jitna yad hota hai