جھڑکی نہیں دیتے ہیں کہ غصہ نہیں ہوتا
منشی شیو پرشاد وہبیجھڑکی نہیں دیتے ہیں کہ غصہ نہیں ہوتا
عاشق پہ ستم وصل میں کیا کیا نہیں ہوتا
بدنام ہوا کرتے ہیں گو عشق میں عاشق
پر میری طرح کوئی بھی رسوا نہیں ہوتا
جز شربت دیدار کرو لاکھ دوائیں
بیمار محبت کبھی اچھا نہیں ہوتا
خلخال کی آواز سے چونک اٹھتے ہیں مردے
کب حشر ترے کوچے میں برپا نہیں ہوتا
باد سحری سے کوئی غنچہ نہیں کھلتا
جب تک کہ ترا بند قبا وا نہیں ہوتا
رہتا ہے تصور جو اک آئینہ جبیں کا
حیرت نہیں ہوتی ہے کہ سکتہ نہیں ہوتا
کب یار کے مژگاں کا تصور نہیں وہبیؔ
کب جسم مرا سوکھ کے کانٹا نہیں ہوتا
jhirki nahin dete hain ke ghussa nahin hota
ashiq pe sitam wasl mein kya kya nahin hota
badnam hua karte hain go ishq mein ashiq
par meri tarah koi bhi ruswa nahin hota
juz sharbat-e-didar karo lakh dawaen
bimar-e-mohabbat kabhi achchha nahin hota
khalkhal ki awaz se chaunk uthte hain murde
kab hashr tire kuche mein barpa nahin hota
bad-e-sahari se koi ghuncha nahin khulta
jab tak ke tira band-e-qaba wa nahin hota
rahta hai tasawwur jo ik aina jabin ka
hairat nahin hoti hai ke sakta nahin hota
kab yar ke mizhgan ka tasawwur nahin wobi
kab jism mira sukh ke kanta nahin hota