حسن ازل کا جلوہ ہماری نظر میں ہے
Brij Mohan Dattatreya Kaifi (1866–1955)حسن ازل کا جلوہ ہماری نظر میں ہے
جو طور پر ہوا تھا دل دیدہ ور میں ہے
دیر و حرم میں کس لیے آوارہ گردیاں
جس کی تجھے تلاش ہے وہ دل کے گھر میں ہے
جو دیکھنے کی آنکھ ہے تجھ کو نہیں ملی
وہ نور قد میں ورنہ شجر میں حجر میں ہے
خاموشیوں میں محفل انجم کی اس کو دیکھ
ہنگامہ مست کیوں تو نمود سحر میں ہے
دیکھا ہے اور پھر نہیں آیا نظر تجھے
وہ حسن وہ جلال جو شمس و قمر میں ہے
اس کو نتیجے علت غائی کی اس کو دھن
فرق اس قدر ہی بے خبر و با خبر میں ہے
ڈھونڈا ہے جس نے اس نے ہی پایا سنا نہیں
لکھا ہوا یہ حکم قضا و قدر میں ہے
ہاں ہاں خدا خدا ہی ہے اور ہے بشر بشر
اس عقدے کا جو حل ہے وہ قلب بشر میں ہے
وہ بھی تو ہیں نظارۂ کل جز میں ہے جنہیں
پوشیدہ راز دید تو حسن نظر میں ہے
ہے عشق جزو لا یتجزیٰ یقین جان
یہ قیمت مجاز و حقیقت خطر میں ہے
کیا شوق دید تجھ پہ تو غالب ہے لطف دید
جو بات تیرے دل میں ہے اپنی نظر میں ہے
نکلے نہ پھنس کے گیسوئے پر پیچ و خم سے دل
ساحل پہ خاک پہنچے جو کشتی بھنور میں ہے
الفت ہے کس کی کیسی محبت کہاں کا عشق
معدوم تو تو فکر دہان و کمر میں ہے
ناقص تھی ابتدا تو ہے انجام عشق بھی
بے ربطی مبتدا میں جو تھی وہ خبر میں ہے
کیفیؔ مسیح شعر ہیں احباب اور بھی
اک تجھ سے جان تازہ نہیں اس ڈھچر میں ہے
husn-e-azal ka jalwa hamari nazar mein hai
jo tur par hua tha dil-e-dida war mein hai
dair-o-haram mein kis liye awara gardiyan
jis ki tujhe talash hai wo dil ke ghar mein hai
jo dekhne ki ankh hai tujh ko nahin mili
wo nur-e-qad mein warna shajar mein hajar mein hai
khamoshiyon mein mahfil-e-anjum ki us ko dekh
hangama mast kyun to numud-e-sahar mein hai
dekha hai aur phir nahin aya nazar tujhe
wo husn wo jalal jo shams-o-qamar mein hai
us ko natije illat-e-ghai ki us ko dhun
farq is qadar hi be khabar-o-ba khabar mein hai
dhunda hai jis ne us ne hi paya suna nahin
likha hua ye hukm-e-qaza-o-qadar mein hai
han han khuda khuda hi hai aur hai bashar bashar
is uqde ka jo hal hai wo qalb-e-bashar mein hai
wo bhi to hain nazara-e-kal juz mein hai jinhen
poshida raz-e-did to husn-e-nazar mein hai
hai ishq juzw-e-la yatjazi yaqin jan
ye qimat-e-majaz-o-haqiqat khatar mein hai
kya shauq-e-did tujh pe to ghalib hai lutf-e-did
jo bat tere dil mein hai apni nazar mein hai
nikle na phans ke gesue pur pech-o-kham se dil
sahil pe khak pahunche jo kashti bhanwar mein hai
ulfat hai kis ki kaisi mohabbat kahan ka ishq
maadum to to fikr-e-dahan-o-kamar mein hai
naqis thi ibtida to hai anjam-e-ishq bhi
be rabati mubtada mein jo thi wo khabar mein hai
kaifi masih-e-sher hain ahbab aur bhi
ik tujh se jan-e-taza nahin is dhachar mein hai