یہ کس کی جستجو ہے اور میں ہوں
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauqیہ کس کی جستجو ہے اور میں ہوں
مقام دشت ہو ہے اور میں ہوں
چمن میں دیکھتا پھرتا ہوں کس کو
فریب رنگ و بو ہے اور میں ہوں
بروز حشر تازہ گل کھلے گا
وہ دامن کا لہو ہے اور میں ہوں
کبھی دیوانہ تھا پر اب ہوں ہشیار
گریباں کا رفو ہے اور میں ہوں
حماقت حضرت واعظ کی دیکھو
تقاضائے وضو ہے اور میں ہوں
نہ پوچھو دل میں کیا کیا حسرتیں ہیں
تمہاری آرزو ہے اور میں ہوں
بھلا ہو تشنہ کامی اور تیرا
مے و جام و سبو ہے اور میں ہوں
رہوں گا کہہ کے دل کا ماجرا سب
ارے محشر میں تو ہے اور میں ہوں
وہ کہتے ہیں کہو اے شوقؔ کیا ہے
ارے خلوت ہے تو ہے اور میں ہوں
ye kis ki justuju hai aur main hun
maqam-e-dasht ho hai aur main hun
chaman mein dekhta phirta hun kis ko
fareb-e-rang-o-bu hai aur main hun
buruz-e-hashr taza gul khulega
wo daman ka lahu hai aur main hun
kabhi diwana tha par ab hun hushyar
gareban ka rafu hai aur main hun
himaqat hazrat-e-waiz ki dekho
taqaza-e-wuzu hai aur main hun
na puchho dil mein kya kya hasraten hain
tumhari arzu hai aur main hun
bhala ho tishna kami aur tera
mai-o-jam-o-subu hai aur main hun
rahunga kah ke dil ka majra sab
are mahshar mein to hai aur main hun
wo kahte hain kaho ai shauq kya hai
are khalwat hai to hai aur main hun