ہوں شیخ مصحفی کا میں حیران شاعری
Mushafi Ghulam Hamdani (1751–1824)ہوں شیخ مصحفی کا میں حیران شاعری
اللہ مفلسی میں یہ کچھ شان شاعری
روندا اسے تمام مرے رخش کلک نے
سودا سے بچ رہا تھا جو میدان شاعری
میں اور لے کے سودہ نمک اس میں بھر دیا
تھا اس کا کم نمک جو نمکدان شاعری
ہندوستاں کے گردن خورد و بزرگ پر
ہے سچ تو یہ مرا ہی ہے احسان شاعری
پیرو ہیں میری طرز کے یاں چھوٹے اور بڑے
ملک سخن کا ہوں میں سلیمان شاعری
رہتے ہیں اینچا تانی میں اب اس کے اور یار
تھا ہاتھ میں مرے جو گریبان شاعری
رکھتی ہے نوک خامۂ جادو رقم ہنوز
مژگان تر سے تازہ گلستان شاعری
موندی جو آنکھ میں نے تو چشم زمانہ سے
چھپ جائے گا وونہی مہ تابان شاعری
میں ابتدائے عمر میں مدت تلک بہت
چھانا ہے فارسی کا صفاہان شاعری
بعد اس کے ریختے کی بھی رکھی ہے وہ بنا
حیراں ہیں جس کے نقش طرازان شاعری
کچھ کچھ کہے ہیں پھر عربی میں جو شعر و نظم
اس میں بھی بن گیا ہوں میں سحبان شاعری
دن رات میرے ناخن نوک قلم میں ہیں
لاکھوں طریق و شیوہ و عنوان شاعری
ہر سفلہ کا دہن یہ نہیں ہے کہ ہو سکے
میرے سوائے شمع شبستان شاعری
جس روز میرے جسم سے نکلے گی میری جاں
یہ جانیو تو آج گئی جان شاعری
لاکھوں ترانہ سنج ہوئے اس کے ریزہ چیں
اے مصحفیؔ مرا ہی ہے وہ خوان شاعری
hun shaikh mushafi ka main hairan shayari
allah muflisi mein ye kuchh shan-e-shayari
ronida use tamam mire rakhsh kilk ne
sauda se bach raha tha jo maidan-e-shayari
main aur le ke suda namak is mein bhar diya
tha us ka kam namak jo namakdan shayari
hindostan ke gardan-e-khurd-o-buzurg par
hai sach to ye mira hi hai ehsan-e-shayari
pairo hain meri tarz ke yan chhote aur bare
mulk-e-sukhan ka hun main sulaiman-e-shayari
rahte hain encha tani mein ab us ke aur yar
tha hath mein mire jo gareban-e-shayari
rakhti hai nok-e-khama-e-jadu raqam hanoz
mizhgan-e-tar se taza gulistan-e-shayari
mundi jo ankh main ne to chashm-e-zamana se
chhup jaega wonahi mah taban shayari
main ibtida-e-umr mein muddat talak bahut
chhana hai farsi ka safahan shayari
baad us ke rekhte ki bhi rakhi hai wo bana
hairan hain jis ke naqsh tarazan shayari
kuchh kuchh kahe hain phir arabi mein jo sher-o-nazm
is mein bhi ban gaya hun main sahban shayari
din rat mere nakhun-e-nok-e-qalam mein hain
lakhon tariq-o-shewa-o-unwan-e-shayari
har sifla ka dahan ye nahin hai ke ho sake
mere siwae sham-e-shabistan-e-shayari
jis roz mere jism se niklegi meri jan
ye janiyo to aj gai jan-e-shayari
lakhon tarana sanj hue us ke reza chin
ai mushafi mira hi hai wo khwan-e-shayari