ہم موت بھی آئے تو مسرور نہیں ہوتے
Fani Badayuni (1879–1941)ہم موت بھی آئے تو مسرور نہیں ہوتے
مجبور غم اتنے بھی مجبور نہیں ہوتے
دل ہی میں نہیں رہتے آنکھوں میں بھی رہتے ہو
تم دور بھی رہتے ہو تو دور نہیں ہوتے
پڑتی ہیں ابھی دل پر شرمائی ہوئی نظریں
جو وار وہ کرتے ہیں بھرپور نہیں ہوتے
امید کے وعدوں سے جی کچھ تو بہلتا تھا
اب یہ بھی ترے غم کو منظور نہیں ہوتے
ارباب محبت پر تم ظلم کے بانی ہو
یہ ورنہ محبت کے دستور نہیں ہوتے
کونین پہ بھاری ہے اللہ رے غرور ان کا
اتنے بھی ادا والے مغرور نہیں ہوتے
ہے عشق ترا فانیؔ تشہیر بھی شہرت بھی
رسوائے محبت یوں مشہور نہیں ہوتے
ham maut bhi ae to masrur nahin hote
majbur-e-gham itne bhi majbur nahin hote
dil hi mein nahin rahte ankhon mein bhi rahte ho
tum dur bhi rahte ho to dur nahin hote
parti hain abhi dil par sharmai hui nazren
jo war wo karte hain bharpur nahin hote
ummid ke waadon se ji kuchh to bahalta tha
ab ye bhi tire gham ko manzur nahin hote
arbab-e-mohabbat par tum zulm ke bani ho
ye warna mohabbat ke dastur nahin hote
kaunain pe bhari hai allah re ghurur un ka
itne bhi ada wale maghrur nahin hote
hai ishq tira fani tashhir bhi shohrat bhi
ruswa-e-mohabbat yun mashhur nahin hote