ہر ایک کو ہر مرتبہ حاصل نہیں ہوتا
عبد الہادی وفاہر ایک کو ہر مرتبہ حاصل نہیں ہوتا
آئینہ سکندر کے مقابل نہیں ہوتا
بے لطف ہے وہ کام مصیبت نہیں جس میں
بے قدر ہے وہ عقدہ جو مشکل نہیں ہوتا
تم وصل میں دیوانگئ شوق سے ڈرنا
میں کشمکش ناز سے بیدل نہیں ہوتا
کس کام کا اے قیس ترا چاک گریباں
لیلیٰ کا اگر پردۂ محمل نہیں ہوتا
میں خرمن امید ہوں تو برق غضب ہے
تجھ سے بجز افسوس کے حاصل نہیں ہوتا
کیا ظلم ہے بے پردہ اسے غیر نے دیکھا
کیوں پردہ مری آنکھ کا حائل نہیں ہوتا
نالے سے نہ کیوں درد جگر اور بھی بڑھتا
دشنے سے سوا زخم کے حاصل نہیں ہوتا
ہوں مثل حباب اور کہیں قطرہ ہوں کہیں موج
میں ذوق فنا سے کبھی غافل نہیں ہوتا
کہتے ہیں مرے زخم یہ ہنس ہنس کے مزہ میں
ایسا نمکیں خندۂ قاتل نہیں ہوتا
ہاں غیر بھی کیا دعویٔ الفت میں ہے جھوٹا
کہتے ہو کسی پر کوئی مائل نہیں ہوتا
کھویا تمہیں عشاق کی بے حوصلگی نے
محشر میں تمہارا کوئی سائل نہیں ہوتا
جادہ پہ چلے جاتے ہیں جو راست قدم ہیں
یہ خضر جدا تا سر منزل نہیں ہوتا
اندازہ ہمت سے کوئی شے نہیں بڑھتی
یعنی خط ساغر خط ساحل نہیں ہوتا
ہر خال سیہ داغ جگر بن نہیں سکتا
ہر قطرۂ خوناب کبھی دل نہیں ہوتا
تجھ کو ہی مگر آگ لگانی نہیں آتی
کیا طور سے اچھا بھی کوئی دل نہیں ہوتا
دنیا سے وفاؔ سرد یہاں تک ہے مرا دل
میں سوز جہنم کا بھی قائل نہیں ہوتا
har ek ko har martaba hasil nahin hota
aina sikandar ke muqabil nahin hota
be lutf hai wo kam musibat nahin jis mein
be qadr hai wo uqda jo mushkil nahin hota
tum wasl mein diwangi-e-shauq se darna
main kashmakash-e-naz se bedil nahin hota
kis kam ka ai qais tira chak-e-gareban
laila ka agar parda-e-mahmil nahin hota
main khirman ummid hun to barq-e-ghazab hai
tujh se bajuz afsos ke hasil nahin hota
kya zulm hai be parda use ghair ne dekha
kyun parda miri ankh ka hail nahin hota
nale se na kyun dard-e-jigar aur bhi barhta
dashne se siwa zakhm ke hasil nahin hota
hun misl-e-habab aur kahin qatra hun kahin mauj
main zauq-e-fana se kabhi ghafil nahin hota
kahte hain mire zakhm ye hans hans ke maza mein
aisa namkin khanda-e-qatil nahin hota
han ghair bhi kya daawa-e-ulfat mein hai jhuta
kahte ho kisi par koi mail nahin hota
khoya tumhen ushshaq ki be hauslagi ne
mahshar mein tumhara koi sail nahin hota
jada pe chale jate hain jo rast qadam hain
ye khizr juda ta sar-e-manzil nahin hota
andaza-e-himmat se koi shai nahin barhti
yaani khat-e-saghar khat sahil nahin hota
har khal-e-siyah dagh-e-jigar ban nahin sakta
har qatra-e-khunab kabhi dil nahin hota
tujh ko hi magar ag lagani nahin ati
kya tur se achchha bhi koi dil nahin hota
duniya se wafa sard yahan tak hai mira dil
main soz-e-jahannam ka bhi qail nahin hota