وہ درد دل بھی نہیں چشم خوں فشاں بھی نہیں
Ehsas Muradabadiوہ درد دل بھی نہیں چشم خوں فشاں بھی نہیں
کبھی جو تھا وہ اب انداز گلستاں بھی نہیں
علاج درد محبت تو کر نہیں سکتے
تمہارے قبضے میں کیا مرگ ناگہاں بھی نہیں
وہ اس مقام سے گزرے ہیں دل یہ کہتا ہے
جھکا ہے سر کہ جہاں کوئی آستاں بھی نہیں
اسی چمن میں کئی بار شعلے بھڑکے ہیں
مری نوا کا کوئی اب مزاج داں بھی نہیں
سکوت کتنے مراحل کے بعد آتا ہے
وہ مطمئن ہیں مرے لب پہ اب فغاں بھی نہیں
یہ اور بات قفس میں گزار دوں دن رات
مرا مقام تو ورنہ یہ گلستاں بھی نہیں
شب فراق میں اندیشۂ سحر کیسا
یہ وہ زمیں ہے جہاں کوئی آسماں بھی نہیں
wo dard-e-dil bhi nahin chashm-e-khun fishan bhi nahin
kabhi jo tha wo ab andaz-e-gulsitan bhi nahin
ilaj-e-dard-e-mohabbat to kar nahin sakte
tumhare qabze mein kya marg-e-nagahan bhi nahin
wo us maqam se guzre hain dil ye kahta hai
jhuka hai sar ke jahan koi astan bhi nahin
isi chaman mein kai bar shole bharke hain
miri nawa ka koi ab mizaj dan bhi nahin
sukut kitne marahil ke baad ata hai
wo mutmain hain mire lab pe ab fughan bhi nahin
ye aur bat qafas mein guzar dun din rat
mira maqam to warna ye gulsitan bhi nahin
shab-e-firaq mein andesha-e-sahar kaisa
ye wo zamin hai jahan koi asman bhi nahin