دیکھا نہیں چاند نے پلٹ کر
Idris Babar (b. 1973)دیکھا نہیں چاند نے پلٹ کر
ہم سو گئے خواب سے لپٹ کر
اب دل میں وہ سب کہاں ہے دیکھو
بغداد کہانیوں سے ہٹ کر
شاید یہ شجر وہی ہو جس پر
دیکھو تو ذرا ورق الٹ کر
اک خوف زدہ سا شخص گھر تک
پہنچا کئی راستوں میں بٹ کر
کاغذ پہ وہ نظم کھل اٹھی ہے
اگ آیا ہے پھر درخت کٹ کر
بابرؔ یہ پرند تھک گئے تھے
بیٹھے ہیں جو خاک پر سمٹ کر
dekha nahin chand ne palat kar
ham so gae khwab se lipat kar
ab dil mein wo sab kahan hai dekho
baghdad kahaniyon se hat kar
shayad ye shajar wahi ho jis par
dekho to zara waraq ulat kar
ik khauf zada sa shakhs ghar tak
pahuncha kai raston mein bat kar
kaghaz pe wo nazm khul uthi hai
ug aya hai phir darakht kat kar
babar ye parind thak gae the
baithe hain jo khak par simat kar