دل کا اور حال مضافات کا کب اچھا ہے
Idris Babar (b. 1973)دل کا اور حال مضافات کا کب اچھا ہے
پر تجھے دیکھ کے لگتا ہے کہ سب اچھا ہے
ایک تصویر میں لگتا ہے کہ ہم بھی خوش تھے
ایک آواز سے لگتا ہے کہ سب اچھا ہے
میری دنیا میں کوئی چیز ٹھکانے پہ نہیں
بس تجھے دیکھ کے لگتا ہے کہ سب اچھا ہے
سوچنے بیٹھیں تو اصلاح کی صورت ہی نہیں
دیکھنے میں یہی لگتا ہے کہ سب اچھا ہے
یہ قطاریں تیرے بیمار کے دیدار کی ہیں
تو نے جب شور مچا رکھا تھا اب اچھا ہے
کوئی استاد کی اصلاح کی صورت یا رب
علم بہتر ہے نہ حضرت کا ادب اچھا ہے
لوگوں کو آئینہ دکھلائیں نہ پتھر کھائیں
ارشمیدس کے لئے باتھ کا ٹب اچھا ہے
dil ka aur hal muzafat ka kab achchha hai
par tujhe dekh ke lagta hai ke sab achchha hai
ek taswir mein lagta hai ke ham bhi khush the
ek awaz se lagta hai ke sab achchha hai
meri duniya mein koi chiz thikane pe nahin
bas tujhe dekh ke lagta hai ke sab achchha hai
sochne baithen to islah ki surat hi nahin
dekhne mein yahi lagta hai ke sab achchha hai
ye qataren tere bimar ke didar ki hain
tu ne jab shor macha rakha tha ab achchha hai
koi ustad ki islah ki surat ya rab
ilm behtar hai na hazrat ka adab achchha hai
logon ko aina dikhlaen na patthar khaen
arshamedas ke liye bath ka tab achchha hai