پھول نے ٹہنی سے اڑنے کی کوشش کی
Gulzar (b. 1934)پھول نے ٹہنی سے اڑنے کی کوشش کی
اک طائر کا دل رکھنے کی کوشش کی
کل پھر چاند کا خنجر گھونپ کے سینے میں
رات نے میری جاں لینے کی کوشش کی
کوئی نہ کوئی رہبر رستہ کاٹ گیا
جب بھی اپنی رہ چلنے کی کوشش کی
کتنی لمبی خاموشی سے گزرا ہوں
ان سے کتنا کچھ کہنے کی کوشش کی
ایک ہی خواب نے ساری رات جگایا ہے
میں نے ہر کروٹ سونے کی کوشش کی
ایک ستارہ جلدی جلدی ڈوب گیا
میں نے جب تارے گننے کی کوشش کی
نام مرا تھا اور پتہ اپنے گھر کا
اس نے مجھ کو خط لکھنے کی کوشش کی
ایک دھوئیں کا مرغولہ سا نکلا ہے
مٹی میں جب دل بونے کی کوشش کی
phul ne tahni se urne ki koshish ki
ik tair ka dil rakhne ki koshish ki
kal phir chand ka khanjar ghonip ke sine mein
rat ne meri jan lene ki koshish ki
koi na koi rahbar rasta kat gaya
jab bhi apni rah chalne ki koshish ki
kitni lambi khamoshi se guzra hun
un se kitna kuchh kahne ki koshish ki
ek hi khwab ne sari rat jagaya hai
main ne har karwat sone ki koshish ki
ek sitara jaldi jaldi dub gaya
main ne jab tare ginne ki koshish ki
nam mira tha aur pata apne ghar ka
us ne mujh ko khat likhne ki koshish ki
ek dhuen ka marghula sa nikla hai
mitti mein jab dil bone ki koshish ki