موسم رنگ بھی ہے فصل خزاں بھی طاری
Ali Sardar Jafri (1913–2000)موسم رنگ بھی ہے فصل خزاں بھی طاری
دیکھنا خون کے دھبے ہیں کہ ہے گلکاری
اس سے ہر طرح سے تذلیل بشر ہوتی ہے
باعث فخر نہیں مفلسی و ناداری
انقلابی ہو تو ہے فقر بھی توقیر حیات
ورنہ ہے عاجزی و بے کسی و عیاری
شعلۂ گل کی بڑھا دیتی ہے لو باد بہار
تہ شبنم بھی دہک اٹھتی ہے اک چنگاری
لمحہ لمحہ ہے کہ ہے قافلۂ منزل نور
سرحد شب میں بھی فرمان سحر ہے جاری
تیغ و خنجر کو عطا کرتے ہیں لفظوں کی نیام
ظلم کی کرتے ہیں جب اہل ستم تیاری
حرف سردارؔ میں پوشیدہ ہیں اسرار حیات
شعر سردارؔ میں ہے سرکشی و سرشاری
شعر سردارؔ میں ہے شعلۂ بے باک کا رنگ
حرف سردارؔ میں حق گوئی و خوش گفتاری
mausam-e-rang bhi hai fasl-e-khizan bhi tari
dekhna khun ke dhabbe hain ke hai gulkari
us se har tarah se tazlil bashar hoti hai
bais-e-fakhr nahin muflisi-o-nadari
inqilabi ho to hai faqr bhi tauqir-e-hayat
warna hai ajizi-o-be kisi-o-ayyari
shola-e-gul ki barha deti hai lo bad-e-bahar
tah shabnam bhi dahak uthti hai ik chingari
lamha lamha hai ke hai qafila-e-manzil nur
sarhad-e-shab mein bhi farman-e-sahar hai jari
tegh-o-khanjar ko ata karte hain lafzon ki niyam
zulm ki karte hain jab ahl-e-sitam tayyari
harf sardar mein poshida hain asrar-e-hayat
sher sardar mein hai sarkashi-o-sarshari
sher sardar mein hai shola-e-be bak ka rang
harf sardar mein haq goi-o-khush guftari