ظلم کی کچھ میعاد نہیں ہے
Ali Sardar Jafri (1913–2000)ظلم کی کچھ میعاد نہیں ہے
داد نہیں فریاد نہیں ہے
قتل ہوئے ہیں اب تک کتنے
کوئے ستم کو یاد نہیں ہے
آخر روئیں کس کو کس کو
کون ہے جو برباد نہیں ہے
قید چمن بھی بن جاتا ہے
مرغ چمن آزاد نہیں ہے
لطف ہی کیا گر اپنے مقابل
سطوت برق و باد نہیں ہے
سب ہوں شاداں سب ہوں خنداں
تنہا کوئی شاد نہیں ہے
دعوت رنگ و نکہت ہے یہ
خندۂ گل برباد نہیں ہے
zulm ki kuchh miad nahin hai
dad nahin fariyad nahin hai
qatl hue hain ab tak kitne
ku-e-sitam ko yad nahin hai
akhir roen kis ko kis ko
kaun hai jo barbad nahin hai
qaid-e-chaman bhi ban jata hai
murgh-e-chaman azad nahin hai
lutf hi kya gar apne muqabil
satwat barq-o-bad nahin hai
sab hun shadan sab hun khandan
tanha koi shad nahin hai
daawat rang-o-nikhat hai ye
khanda-e-gul barbad nahin hai