یونہی آتی نہیں ہوا مجھ میں
Idris Babar (b. 1973)یونہی آتی نہیں ہوا مجھ میں
ابھی روشن ہے اک دیا مجھ میں
وہ مجھے دیکھ کر خموش رہا
اور اک شور مچ گیا مجھ میں
دونوں آدم کے منتقم بیٹے
اور ہوا ان کا سامنا مجھ میں
میں مدینے کو لوٹ آیا ہوں
یعنی جاری ہے کربلا مجھ میں
روشنی آنے والے خواب کی ہے
دن تو کب کا گزر چکا مجھ میں
اس اندھیرے میں جب کوئی بھی نہ تھا
مجھ سے گم ہو گیا خدا مجھ میں
yunhi ati nahin hua mujh mein
abhi raushan hai ik diya mujh mein
wo mujhe dekh kar khamosh raha
aur ik shor much gaya mujh mein
donon adam ke muntaqam bete
aur hua un ka samna mujh mein
main madine ko laut aya hun
yaani jari hai karbala mujh mein
raushni ane wale khwab ki hai
din to kab ka guzar chuka mujh mein
is andhere mein jab koi bhi na tha
mujh se gum ho gaya khuda mujh mein