بس اپنے آپ میں الجھا ہوا ہے
Vikas Ranaبس اپنے آپ میں الجھا ہوا ہے
اسے کہہ دو کہ شعر اچھا ہوا ہے
سمندر کی چٹائی کھینچ لو اب
بہت دن سے یہیں بیٹھا ہوا ہے
بنا تھا تم نے پچھلی سردیوں میں
یہ میں نے ہجر جو پہنا ہوا ہے
bas apne ap mein uljha hua hai
use kah do ke sher achchha hua hai
samundar ki chatai khinch lo ab
bahut din se yahin baitha hua hai
bana tha tum ne pichhli sardiyon mein
ye main ne hijr jo pahna hua hai