سب کچھ مری قسمت کا تیرے در کے قریں ہے
Yadgar Husain Nashtar Khairabadi (1916–1964)سب کچھ مری قسمت کا تیرے در کے قریں ہے
جینا بھی یہیں ہے مجھے مرنا بھی یہیں ہے
عالم سے نرالا ہے تیرے حسن کا عالم
تو خود بھی حسیں تیری محبت بھی حسیں ہے
واعظ کی زباں اور یہ جنت کے فسانے
کمبخت نے مے خانہ تو دیکھا ہی نہیں ہے
نشترؔ کو گناہوں کی جزہ مل کے رہے گی
اس کو تری رحمت پہ بھروسہ ہے یقیں ہے
sab kuchh miri qismat ka tere dar ke qarin hai
jina bhi yahin hai mujhe marna bhi yahin hai
alam se nirala hai tere husn ka alam
tu khud bhi hasin teri mohabbat bhi hasin hai
waiz ki zaban aur ye jannat ke fasane
kambakht ne mai khana to dekha hi nahin hai
nashtar ko gunahon ki jaza mil ke rahegi
us ko tiri rahmat pe bharosa hai yaqin hai