حجاب میں حبیب ہے یہ عشق بھی عجیب ہے
Vakeel Ahmad Hayat (b. 2001)حجاب میں حبیب ہے یہ عشق بھی عجیب ہے
کہ سامنے رقیب ہے یہ عشق بھی عجیب ہے
کبھی اسے بلاؤ تم کوئی غزل لکھاؤ تم
بہت بڑا ادیب ہے یہ عشق بھی عجیب ہے
پڑا ہوا ازل سے ہے سراغ دل کے پیچھے جو
یہی وہ عندلیب ہے یہ عشق بھی عجیب ہے
مزہ جو درد میں ہے وہ کہیں مجھے ملا نہیں
یہی مرا نصیب ہے یہ عشق بھی عجیب ہے
یہ عاشقوں کا مشغلہ یہ عارفوں کا راز ہے
حکیم ہے اریب ہے یہ عشق بھی عجیب ہے
عبادتوں میں رات دن گزارتے تھے جو کبھی
گلے میں اب صلیب ہے یہ عشق بھی عجیب ہے
فنا ہوئے ہو عشق میں تو کوئی غم نہیں حیاتؔ
بقا بھی عنقریب ہے یہ عشق بھی عجیب ہے
hijab mein habib hai ye ishq bhi ajib hai
ke samne raqib hai ye ishq bhi ajib hai
kabhi use bulao tum koi ghazal likhao tum
bahut bara adib hai ye ishq bhi ajib hai
para hua azal se hai suragh dil ke pichhe jo
yahi wo andalib hai ye ishq bhi ajib hai
maza jo dard mein hai wo kahin mujhe mila nahin
yahi mira nasib hai ye ishq bhi ajib hai
ye ashiqon ka mashghala ye arifon ka raz hai
hakim hai arib hai ye ishq bhi ajib hai
ibadaton mein rat din guzarte the jo kabhi
gale mein ab salib hai ye ishq bhi ajib hai
fana hue ho ishq mein to koi gham nahin hayat
baqa bhi anqarib hai ye ishq bhi ajib hai