گھر میں رہتا ہوں تو پاؤں میں سفر جاگتا ہے
Zafar Kamali (b. 1959)گھر میں رہتا ہوں تو پاؤں میں سفر جاگتا ہے
جیسے آغوش میں دریا کے بھنور جاگتا ہے
جب کسی اونچی حویلی پہ ٹھہرتی ہے نگاہ
کیوں اسی وقت مرے دل میں کھنڈر جاگتا ہے
بیٹھ جاتے ہیں گھنی چھاؤں میں ہم بھی جس دم
وادیٔ روح میں یادوں کا شجر جاگتا ہے
عجز آنکھوں سے ٹپکتا ہے جب آنسو بن کر
تب کہیں جا کے دعاؤں میں اثر جاگتا ہے
بات کیا ہے کہ ہمیں آتی نہیں گہری نیند
بند ہوتی ہیں اگر پلکیں تو سر جاگتا ہے
کچھ عجب ہوتا ہے وہ لمحۂ تخلیق ظفرؔ
دست فن کار میں جب وقت ہنر جاگتا ہے
ghar mein rahta hun to paon mein safar jagta hai
jaise aghosh mein dariya ke bhanwar jagta hai
jab kisi unchi haweli pe thaharti hai nigah
kyun isi waqt mire dil mein khandar jagta hai
baith jate hain ghani chhaon mein ham bhi jis dam
wadi-e-ruh mein yadon ka shajar jagta hai
ijz ankhon se tapakta hai jab ansu ban kar
tab kahin ja ke duaon mein asar jagta hai
bat kya hai ke hamen ati nahin gahri nind
band hoti hain agar palken to sar jagta hai
kuchh ajab hota hai wo lamha-e-takhliq zafar
dast-e-fan kar mein jab waqt-e-hunar jagta hai