اک تعلق سا کسی نام سے جب ہوتا ہے
Usha Bhadoriya (b. 1954)اک تعلق سا کسی نام سے جب ہوتا ہے
بے سبب بھی کوئی جینے کا سبب ہوتا ہے
بارہا سوچا مگر تم کو بتا بھی نہ سکی
غم کا احساس مری روح کو کب ہوتا ہے
ڈھونڈھتا رہتا ہے اکثر مرے اندر تجھ کو
میری تنہائی کا عالم بھی عجب ہوتا ہے
یوں بظاہر سبھی انجان نظر آتے ہیں
جانتے سب ہیں کہ اس شہر میں سب ہوتا ہے
اٹھ گیا جیسے زمانے سے محبت کا چلن
کون اب کس کے لئے خندہ بہ لب ہوتا ہے
لفظ بھی کھول نہیں پاتے کبھی لب اپنے
دوسرا نام محبت کا ادب ہوتا ہے
اپنے آغاز سے چلتی ہوں میں انجام کی سمت
میری صبحوں کا سفر جانب شب ہوتا ہے
کسی تنکے کا سہارا نہیں ملتا مجھ کو
ڈوب جانا مری تقدیر میں جب ہوتا ہے
چند بے نام سے رشتے ہیں لبوں پر اوشاؔ
کوئی دنیا میں کسی کا بھلا کب ہوتا ہے
ik taalluq sa kisi nam se jab hota hai
be sabab bhi koi jine ka sabab hota hai
barha socha magar tum ko bata bhi na saki
gham ka ehsas miri ruh ko kab hota hai
dhundhta rahta hai aksar mire andar tujh ko
meri tanhai ka alam bhi ajab hota hai
yun bazahir sabhi anjan nazar ate hain
jante sab hain ke is shahr mein sab hota hai
uth gaya jaise zamane se mohabbat ka chalan
kaun ab kis ke liye khanda ba lab hota hai
lafz bhi khol nahin pate kabhi lab apne
dusra nam mohabbat ka adab hota hai
apne aghaz se chalti hun main anjam ki samt
meri subhon ka safar janib-e-shab hota hai
kisi tinke ka sahara nahin milta mujh ko
dub jana miri taqdir mein jab hota hai
chand be nam se rishte hain labon par usha
koi duniya mein kisi ka bhala kab hota hai